Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski rahmat kar rahi hai uske roze ka tawaf

Tahir Saood Kiratpuri

uski rahmat kar rahi hai uske roze ka tawaf

Tahir Saood Kiratpuri

MORE BYTahir Saood Kiratpuri

    us rahmat kar rahī hai us ke roze tavāf

    ye jo bachcha kar rahā hai sūkhe TukḌe tavāf

    jaane kis misre ab taqdīr likkhī jā.egī

    kitne misre kar rahe haiñ ek misre tavāf

    vaqt-e-āḳhir būḌhī maañ tasvīr le kar haath meñ

    der tak kartī rahī beTe ke chehre tavāf

    koī bhī yūñhī nahīñ phirtā kisī ke ird-gird

    sab kiyā karte haiñ ohde aur rutbe tavāf

    titliyāñ kuchh is tarah mañDlā rahī haiñ phuul par

    jaise haajī kar rahe hoñ haj meñ ka.abe tavāf

    kis qadar mushkil hai ghar ta.amīr karnā dekh le

    ek chiḌiyā kar rahī hai kab se tinke tavāf

    muddatoñ taḌpā huuñ tere ghar ke pheroñ ke liye

    ai ḳhudā maqbūl kiijo aaj būḌhe tavāf

    us ki rahmat kar rahi hai us ke roze ka tawaf

    ye jo bachcha kar raha hai sukhe TukDe ka tawaf

    jaane kis misre ki ab taqdir likkhi jaegi

    kitne misre kar rahe hain ek misre ka tawaf

    waqt-e-aKHir buDhi man taswir le kar hath mein

    der tak karti rahi beTe ke chehre ka tawaf

    koi bhi yunhi nahin phirta kisi ke ird-gird

    sab kiya karte hain ohde aur rutbe ka tawaf

    titliyan kuchh is tarah manDla rahi hain phul par

    jaise haji kar rahe hon haj mein kabe ka tawaf

    kis qadar mushkil hai ghar tamir karna dekh le

    ek chiDiya kar rahi hai kab se tinke ka tawaf

    muddaton taDpa hun tere ghar ke pheron ke liye

    ai KHuda maqbul kijo aaj buDhe ka tawaf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now