uski sard haweli tak dhup ka tapta sahra tha
us kī sard havelī tak dhuup kā taptā sahrā thā
oT meñ sūkhī jhāḌī ke saaya chhup kar baiThā thā
guuñj rahī thī jab ye sadā asmā kī tashrīh karo
bol rahā thā sirf insāñ chaar taraf sannāTā thā
māhī-gīr akelā thā lauT ke kaise ghar aatā
naav ke chappū TuuTe the aur samundar gahrā thā
ham ne jo ghar-bār tajā ek sitāre kī ḳhātir
an-dekhī duniyāoñ se aisā kaun sā rishta thā
fitrat kī be-zarfī bhī kyā kyā ruup badaltī hai
aag lagī thī jab ghar meñ Tuut ke bādal barsā thā
saaya bāñTne vaalā ḳhud saa.e se mahrūm rahe
qismat ne in peḌoñ ko dhuup meñ jalnā likkhā thā
kūza-garoñ kī bastī meñ miTTī kī kam-yābī se
kuuze kitne mahñge the paanī kitnā sastā thā
ik mauhūm nishānī par 'tālib' ham ne kuuch kiyā
manzil bhī anjānī thī rasta bhī an-dekhā thā
us ki sard haweli tak dhup ka tapta sahra tha
oT mein sukhi jhaDi ke saya chhup kar baiTha tha
gunj rahi thi jab ye sada asma ki tashrih karo
bol raha tha sirf insan chaar taraf sannaTa tha
mahi-gir akela tha lauT ke kaise ghar aata
naw ke chappu TuTe the aur samundar gahra tha
hum ne jo ghar-bar taja ek sitare ki KHatir
an-dekhi duniyaon se aisa kaun sa rishta tha
fitrat ki be-zarfi bhi kya kya rup badalti hai
aag lagi thi jab ghar mein Tut ke baadal barsa tha
saya banTne wala KHud sae se mahrum rahe
qismat ne in peDon ko dhup mein jalna likkha tha
kuza-garon ki basti mein miTTi ki kam-yabi se
kuze kitne mahnge the pani kitna sasta tha
ek mauhum nishani par 'talib' hum ne kuch kiya
manzil bhi anjaani thi rasta bhi an-dekha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.