Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski wafa na meri wafa ka sawal tha

Abbas Dana

uski wafa na meri wafa ka sawal tha

Abbas Dana

MORE BYAbbas Dana

    us vafā na merī vafā savāl thā

    donoñ chup the sirf anā savāl thā

    is kashmakash meñ ḳhatm huā raat safar

    zid thī mirī to us hayā savāl thā

    sab muntazir the āsmāñ detā hai kyā javāb

    pyāse laboñ pe kaalī ghaTā savāl thā

    majbūr ham the aur vo muḳhtār thā magar

    donoñ ke beach dast duā savāl thā

    jaanā thā mai-kade se hameñ kū-e-yār tak

    lekin hamārī laġhzish-e-pā savāl thā

    taqsīm karne niklā thā vo raushnī magar

    jalte hue diye ko havā savāl thā

    'dānā' mujhe azal se ġhazal talāsh thī

    ye merī zindagī adā savāl thā

    us ki wafa na meri wafa ka sawal tha

    donon hi chup the sirf ana ka sawal tha

    is kashmakash mein KHatm hua raat ka safar

    zid thi meri to us ki haya ka sawal tha

    sab muntazir the aasman deta hai kya jawab

    pyase labon pe kali ghaTa ka sawal tha

    majbur hum the aur wo muKHtar tha magar

    donon ke beach dast dua ka sawal tha

    jaana tha mai-kade se hamein ku-e-yar tak

    lekin hamari laghzish-e-pa ka sawal tha

    taqsim karne nikla tha wo raushni magar

    jalte hue diye ko hawa ka sawal tha

    'dana' mujhe azal se ghazal ki talash thi

    ye meri zindagi ki ada ka sawal tha

    Source:

    Fanoos (Pg. 13)

    • Author: Abbas Dana
      • Edition: 1993
      • Publisher: Shahid Book Depot Stedum Road Noor Nagar Rakhyal Ahmdabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now