Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usko mil kar dekh shayad wo tera aaina ho

Saleem Shahid

usko mil kar dekh shayad wo tera aaina ho

Saleem Shahid

MORE BYSaleem Shahid

    us ko mil kar dekh shāyad vo tirā ā.īna ho

    ġhā.ebāna tirī us shanāsā.ī na ho

    mujh pe zāhir hai tire meñ haiñ kyā kyā ḳhvāhisheñ

    baat aisī kar ki jis meñ terī rusvā.ī na ho

    ehtiyātan dekhtā chal apne saa.e taraf

    is tarah shāyad tujhe ehsās-e-tanhā.ī na ho

    āsmāñ ik dasht sūrat sitāre ret haiñ

    to lab-e-dariyā sarāboñ tamannā.ī na ho

    DhūñDh ab kuchh bhāgte logoñ meñ sūrat āshnā

    in bagūloñ meñ ga.e lamhoñ purvā.ī na ho

    thā safar dar-pesh sahrā girah meñ rakh diye

    us ne kuchh kāñTe ki uzr-e-ābla-pā.ī na ho

    khīñch legā abr se bārish agar sabza huā

    kisī chaah meñ be-kār saudā.ī na ho

    ham use chhūkar yahī samjhe ki vo patthar nahīñ

    is se baḌh kar aur kyā kahiye jo bīnā.ī na ho

    khul ga.ī hai aañkh to chādar banā kar dekh le

    tere kamre meñ in ḳhvāboñ ra.anā.ī na ho

    zaḳhm tere dil zīnat haiñ unheñ parde meñ rakh

    koī nā-mahram tire ghar tamāshā.ī na ho

    aaj 'shāhid' us ke darvāze pe paañv ruk ga.e

    radio bajtā thā maiñ chauñkā ki shahnā.ī na ho

    us ko mil kar dekh shayad wo tera aaina ho

    ghaebana hi teri us ki shanasai na ho

    mujh pe zahir hai tere ji mein hain kya kya KHwahishen

    baat aisi kar ki jis mein teri ruswai na ho

    ehtiyatan dekhta chal apne sae ki taraf

    is tarah shayad tujhe ehsas-e-tanhai na ho

    aasman ek dasht ki surat sitare ret hain

    to lab-e-dariya sarabon ka tamannai na ho

    DhunDh ab kuchh bhagte logon mein surat aashna

    in bagulon mein gae lamhon ki purwai na ho

    tha safar dar-pesh sahra ka girah mein rakh diye

    us ne kuchh kanTe ki uzr-e-abla-pai na ho

    khinch lega abr se barish agar sabza hua

    tu kisi ki chah mein be-kar saudai na ho

    hum use chhukar yahi samjhe ki wo patthar nahin

    is se baDh kar aur kya kahiye jo binai na ho

    khul gai hai aankh to chadar bana kar dekh le

    tere kamre hi mein in KHwabon ki ranai na ho

    zaKHm tere dil ki zinat hain unhen parde mein rakh

    koi na-mahram tere ghar ka tamashai na ho

    aaj 'shahid' us ke darwaze pe panw ruk gae

    radio bajta tha main chaunka ki shahnai na ho

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 684)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now