Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne humse yahi shikayat ki

Mohsin Sahil

usne humse yahi shikayat ki

Mohsin Sahil

MORE BYMohsin Sahil

    us ne ham se yahī shikāyat

    is qadar ham se kyoñ mohabbat

    āshiqoñ namāz hone lagī

    aur miyāñ qais ne imāmat

    laa.e tashrīf mere ḳhvāboñ meñ

    ḳhvāh-maḳhvāh aap ne ye zahmat

    vo the taz.īn-e-husn meñ masrūf

    ham ne milne meñ thoḌī ujlat

    us ne dekhā magar na pahchānā

    ḳhair jo bhī kiyā ināyat

    phir sukūñ dil ho gayā barbād

    terī yādoñ ne kyā qayāmat

    rishte aksar haiñ jhuuT par qaa.em

    koī qīmat nahīñ sadāqat

    ishq ke naam par hue barbād

    par na mahbūb se shikāyat

    chand aañsū haiñ us yādeñ haiñ

    baat kuchh pochhiye na ḳhalvat

    us ne hum se yahi shikayat ki

    is qadar hum se kyon mohabbat ki

    aashiqon ki namaz hone lagi

    aur miyan qais ne imamat ki

    lae tashrif mere KHwabon mein

    KHwah-maKHwah aap ne ye zahmat ki

    wo the tazin-e-husn mein masruf

    hum ne milne mein thoDi ujlat ki

    us ne dekha magar na pahchana

    KHair jo bhi kiya inayat ki

    phir sukun dil ka ho gaya barbaad

    teri yaadon ne kya qayamat ki

    rishte aksar hain jhuT par qaem

    koi qimat nahin sadaqat ki

    ishq ke nam par hue barbaad

    par na mahbub se shikayat ki

    chand aansu hain us ki yaaden hain

    baat kuchh pochhiye na KHalwat ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now