usne jab baat ki udasi ki
us ne jab baat kī udāsī kī
gard jhaḌne lagī udāsī kī
ab to yāroñ kī anjuman meñ huuñ
ab kahāñ rut rahī udāsī kī
terī āñkhoñ kā zikr bhī aayā
guftugū jab chalī udāsī kī
shahr bhar meñ kahāniyāñ phailīñ
terī bhedoñ bharī udāsī kī
tum se fursat meñ guftugū hogī
'izzat-e-nafs kī udāsī kī
ai mirā haal pūchhne vaale
sun sadā gūñjtī udāsī kī
uTh mire saath raqs kar 'anvar'
aisī taisī tirī udāsī kī
us ne jab baat ki udasi ki
gard jhaDne lagi udasi ki
ab to yaron ki anjuman mein hun
ab kahan rut rahi udasi ki
teri aankhon ka zikr bhi aaya
guftugu jab chali udasi ki
shahr bhar mein kahaniyan phailin
teri bhedon bhari udasi ki
tum se fursat mein guftugu hogi
'izzat-e-nafs ki udasi ki
ai mera haal puchhne wale
sun sada gunjti udasi ki
uTh mere sath raqs kar 'anwar'
aisi taisi teri udasi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.