Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne kar wasma jo funduq pe jamai mehndi

Mushafi Ghulam Hamdani

usne kar wasma jo funduq pe jamai mehndi

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    us ne kar vasma jo funduq pe jamā.ī mehñdī

    kyā dilchasp mujhe vo nazar aa.ī mehñdī

    na rahā ek bhī chor us ke kahīñ hāthoñ meñ

    aisī chaturā.ī se kāfir ne lagā.ī mehñdī

    baiThe baiThe jo mizāj aa gayā rañgīnī par

    gūñdh kar laale patī meñ milā.ī mehñdī

    is nafāsat maiñ kushta huuñ ki ik to us ne

    bañgle pānoñ se hāthoñ meñ bañdhā.ī mehñdī

    tis pe kam-baḳht ye dūsrī saghḌā.ī dekh

    bāñdh rumāloñ se bame bachā.ī mehñdī

    aur hushyārī ye sun sote se jo chauñk paḌā

    khol phurtī se vahīñ jald chhuḌā.ī mehñdī

    ba.ad-azāñ taaq se ik chhoTe se shīshe ko utaar

    itr meñ hāthoñ se mal mal ke basā.ī mehñdī

    'mus.hafī' kyuuñ na duā deve ki us ko ne

    ik ġhazal aur bhī rañgīn likhā.ī mehñdī

    us ne kar wasma jo funduq pe jamai mehndi

    kya hi dilchasp mujhe wo nazar aai mehndi

    na raha ek bhi chor us ke kahin hathon mein

    aisi chaturai se kafir ne lagai mehndi

    baiThe baiThe jo mizaj aa gaya rangini par

    gundh kar lale ki pati mein milai mehndi

    is nafasat ka main kushta hun ki ek to us ne

    bangle panon se hathon mein bandhai mehndi

    tis pe kam-baKHt ki ye dusri saghDai dekh

    bandh rumalon se bame ki bachai mehndi

    aur hushyari ye sun sote se jo chaunk paDa

    khol phurti se wahin jald chhuDai mehndi

    baad-azan taq se ek chhoTe se shishe ko utar

    itr mein hathon se mal mal ke basai mehndi

    'mushafi' kyun na dua dewe ki us ko tu ne

    ek ghazal aur bhi rangin likhai mehndi

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 239)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now