usne KHud phone pe ye mujhse kaha achchha tha

Tripurari

usne KHud phone pe ye mujhse kaha achchha tha

Tripurari

MORE BYTripurari

  us ne ḳhud phone pe ye mujh se kahā achchhā thā

  dāġh-e-bosa vo jo kañdhe pe milā achchhā thā

  pyaas ke haq meñ mire hoñT duā karte the

  pyaas chaah meñ ab jo bhī milā achchhā thā

  niiñd bal khātī huī aa.ī thī nāgin tarah

  kaaT bhī letī agar vo to baḌā achchhā thā

  yuuñ to kitne ḳhudā aa.e mire raste meñ

  maiñ ne ḳhud jo banāyā thā ḳhudā achchhā thā

  vo jo nuqsān mānind mujhe lagtā hai

  sach to ye hai ki vahī ek nafā achchhā thā

  dil tārīk galiyoñ meñ tumhārī aahaT

  aur aahaT se jo ik phuul khilā achchhā thā

  jism ko yaad kiyā kartī hai ab ruuh mirī

  aur kahtī hai ki vo baaġh amā achchhā thā

  log kahte haiñ ki vo shaḳhs burā thā lekin

  dil to kahtā hai ki vo shaḳhs baḌā achchhā thā

  us ne KHud phone pe ye mujh se kaha achchha tha

  dagh-e-bosa wo jo kandhe pe mila achchha tha

  pyas ke haq mein mere honT dua karte the

  pyas ki chah mein ab jo bhi mila achchha tha

  nind bal khati hui aai thi nagin ki tarah

  kaT bhi leti agar wo to baDa achchha tha

  yun to kitne hi KHuda aae mere raste mein

  main ne KHud hi jo banaya tha KHuda achchha tha

  wo jo nuqsan ki manind mujhe lagta hai

  sach to ye hai ki wahi ek nafa achchha tha

  dil ki tarik si galiyon mein tumhaari aahaT

  aur aahaT se jo ek phul khila achchha tha

  jism ko yaad kiya karti hai ab ruh meri

  aur kahti hai ki wo bagh ama achchha tha

  log kahte hain ki wo shaKHs bura tha lekin

  dil to kahta hai ki wo shaKHs baDa achchha tha

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY