Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us nigah-e-mast se jab wajd mein aati hun main

Najma Tasadduq

us nigah-e-mast se jab wajd mein aati hun main

Najma Tasadduq

MORE BYNajma Tasadduq

    us nigāh-e-mast se jab vajd meñ aatī huuñ maiñ

    kaif-o-rañg-o-nūr duniyā pe chhā jaatī huuñ maiñ

    kyā kahūñ kyā hai mohabbat fareb-e-ḳhud-nigar

    dekhtī huuñ jis taraf ḳhud nazar aatī huuñ maiñ

    chāhtī to huuñ ki maujoñ se rahūñ dāman-kashāñ

    kashtī-e-ġham huuñ bhañvar meñ phir bhī aa jaatī huuñ maiñ

    sub.h tak Thahrā nazar aatā hai daur-e-āsmāñ

    jab tasavvur meñ tire rātoñ ko kho jaatī huuñ maiñ

    jaam gir paḌtā hai saaqī thartharā jaate haiñ haath

    terī āñkheñ dekh kar nashshe meñ aa jaatī huuñ maiñ

    un āñkheñ der tak rahtī haiñ rashk-e-kahkashāñ

    jab kabhī rātoñ ko 'najma' yaad aa jaatī huuñ maiñ

    us nigah-e-mast se jab wajd mein aati hun main

    kaif-o-rang-o-nur ki duniya pe chha jati hun main

    kya kahun kya hai mohabbat ka fareb-e-KHud-nigar

    dekhti hun jis taraf KHud hi nazar aati hun main

    chahti to hun ki maujon se rahun daman-kashan

    kashti-e-gham hun bhanwar mein phir bhi aa jati hun main

    subh tak Thahra nazar aata hai daur-e-asman

    jab tasawwur mein tere raaton ko kho jati hun main

    jam gir paDta hai saqi tharthara jate hain hath

    teri aankhen dekh kar nashshe mein aa jati hun main

    un ki aankhen der tak rahti hain rashk-e-kahkashan

    jab kabhi raaton ko 'najma' yaad aa jati hun main

    Source:

    Tazkira-e-Shairat-e-Urdu (Pg. 655)

    • Author: Mohammad Jameel Ahmad
      • Publisher: Qaumi Kutub Khana, Bareilly
      • Year of Publication: 1944
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now