Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us rashk-e-qamar ki hamein aai jo nazar naf

Hatim Ali Mehr

us rashk-e-qamar ki hamein aai jo nazar naf

Hatim Ali Mehr

MORE BYHatim Ali Mehr

    us rashk-e-qamar hameñ aa.ī jo nazar naaf

    ham samjhe ki hai ik girah-e-mū-e-kamar naaf

    kurte garebān garebān-e-sahar hai

    gorā shikam un hai sahar najm-e-sahar naaf

    kis darja badan tirī rañgat hai sunahrī

    sone varaq peT hai to bo tah-e-zar-e-nāf

    pistān haiñ habāb aur shikam bahr-e-latāfat

    maujeñ haiñ baTīñ peT dariyā bhañvar naaf

    vo ā.īna vo baal hai vo chhālā hai us

    hairat meñ huuñ maiñ dekh ke bas peT kamar naaf

    ho gor-e-gaḌhā kūcha-e-jānāñ meñ hamārā

    ham mar ga.e haiñ dekh ke bas ek nazar naaf

    har uzv bhaḌakne meñ hai ai 'mehr' saqanqūr

    jaalī vo kartī to hai jaal aur bhañvar naaf

    us rashk-e-qamar ki hamein aai jo nazar naf

    hum samjhe ki hai ek girah-e-mu-e-kamar naf

    kurte ka gareban gareban-e-sahar hai

    gora shikam un ka hai sahar najm-e-sahar naf

    kis darja badan ki teri rangat hai sunahri

    sone ka waraq peT hai to bo tah-e-zar-e-naf

    pistan hain habab aur shikam bahr-e-latafat

    maujen hain baTin peT ki dariya ka bhanwar naf

    wo aaina wo baal hai wo chhaala hai us ka

    hairat mein hun main dekh ke bas peT kamar naf

    ho gor-e-gaDha kucha-e-jaanan mein hamara

    hum mar gae hain dekh ke bas ek nazar naf

    har uzw bhaDakne mein hai ai 'mehr' saqanqur

    jali ki wo karti to hai jal aur bhanwar naf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now