Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us raunat se wo jite hain ki marna hi nahin

Habib Jalib

us raunat se wo jite hain ki marna hi nahin

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    us ra.ūnat se vo jiite haiñ ki marnā nahīñ

    taḳht par baiThe haiñ yuuñ jaise utarnā nahīñ

    yuuñ mah-o-anjum vaadī meñ uḌe phirte haiñ vo

    ḳhaak ke zarroñ pe jaise paañv dharnā nahīñ

    un da.avā hai ki sūraj bhī unhī hai ġhulām

    shab jo ham par aa.ī hai us ko guzarnā nahīñ

    kyā ilaaj us agar ho mudda.ā un yahī

    ehtimām rañg-o-bū gulshan meñ karnā nahīñ

    zulm se haiñ barsar-e-paikār āzādī-pasand

    un pahāḌoñ meñ jahāñ par koī jharnā nahīñ

    dil bhī un ke haiñ siyah ḳhūrāk-e-zindāñ tarah

    un se apnā ġham bayāñ ab ham ko karnā nahīñ

    intihā kar leñ sitam log abhī haiñ ḳhvāb meñ

    jaag uTThe jab log to un ko Thaharnā nahīñ

    us raunat se wo jite hain ki marna hi nahin

    taKHt par baiThe hain yun jaise utarna hi nahin

    yun mah-o-anjum ki wadi mein uDe phirte hain wo

    KHak ke zarron pe jaise panw dharna hi nahin

    un ka dawa hai ki suraj bhi unhi ka hai ghulam

    shab jo hum par aai hai us ko guzarna hi nahin

    kya ilaj us ka agar ho muddaa un ka yahi

    ehtimam rang-o-bu gulshan mein karna hi nahin

    zulm se hain barsar-e-paikar aazadi-pasand

    un pahaDon mein jahan par koi jharna hi nahin

    dil bhi un ke hain siyah KHurak-e-zindan ki tarah

    un se apna gham bayan ab hum ko karna hi nahin

    intiha kar len sitam ki log abhi hain KHwab mein

    jag uTThe jab log to un ko Thaharna hi nahin

    Source:

    Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 170)

    • Author: Habib Jalib
      • Edition: 2012
      • Publisher: Tahir Sons Publishers
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now