aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us sang-e-astan pe jabin-e-niyaz hai

Shaikh Ibrahim Zauq

us sang-e-astan pe jabin-e-niyaz hai

Shaikh Ibrahim Zauq

MORE BYShaikh Ibrahim Zauq

    us sañg-e-āstāñ pe jabīn-e-niyāz hai

    vo apnī jā-namāz hai aur ye namāz hai

    nā-sāz hai jo ham se usī se ye saaz hai

    kyā ḳhuub dil hai vaah hameñ jis pe naaz hai

    pahuñchā hai shab kamand lagā kar vahāñ raqīb

    sach hai harām-zāde rassī darāz hai

    us but pe gar ḳhudā bhī ho āshiq to aa.e rashk

    har-chand jāntā huuñ ki vo pāk-bāz hai

    maddāh-e-ḳhāl-e-rū-e-butāñ huuñ mujhe ḳhudā

    baḳhshe to kyā ajab ki vo nukta-navāz hai

    Dartā huuñ ḳhanjar us na bah jaa.e ho ke aab

    mere gale meñ nāla-e-āhan-gudāz hai

    darvāza mai-kade na kar band mohtasib

    zālim ḳhudā se Dar ki dar-e-tauba baaz hai

    ḳhāna-ḳharābiyāñ dil-e-bīmār-e-ġham dekh

    vo davā ḳharāb hai jo ḳhāna-sāz hai

    shabnam jā-e-gul se Tapaktī haiñ shoḳhiyāñ

    gulshan meñ kis ḳhāk-e-shahīdān-e-nāz hai

    aah o fuġhāñ na kar jo khule 'zauq' dil haal

    har naala ik kalīd-e-dar-e-ganj-e-rāz hai

    us sang-e-astan pe jabin-e-niyaz hai

    wo apni ja-namaz hai aur ye namaz hai

    na-saz hai jo hum se usi se ye saz hai

    kya KHub dil hai wah hamein jis pe naz hai

    pahuncha hai shab kamand laga kar wahan raqib

    sach hai haram-zade ki rassi daraaz hai

    us but pe gar KHuda bhi ho aashiq to aae rashk

    har-chand jaanta hun ki wo pak-baz hai

    maddah-e-KHal-e-ru-e-butan hun mujhe KHuda

    baKHshe to kya ajab ki wo nukta-nawaz hai

    Darta hun KHanjar us ka na bah jae ho ke aab

    mere gale mein nala-e-ahan-gudaz hai

    darwaza mai-kade ka na kar band mohtasib

    zalim KHuda se Dar ki dar-e-tauba baz hai

    KHana-KHarabiyan dil-e-bimar-e-gham ki dekh

    wo hi dawa KHarab hai jo KHana-saz hai

    shabnam ki ja-e-gul se Tapakti hain shoKHiyan

    gulshan mein kis ki KHak-e-shahidan-e-naz hai

    aah o fughan na kar jo khule 'zauq' dil ka haal

    har nala ek kalid-e-dar-e-ganj-e-raaz hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now