Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us sham ko jab ruTh ke mein ghar se chala tha

Zameer Kazmi

us sham ko jab ruTh ke mein ghar se chala tha

Zameer Kazmi

MORE BYZameer Kazmi

    us shaam ko jab ruuTh ke meñ ghar se chalā thā

    ik saaya bhī bichhḌe hue manzar se chalā thā

    ab āsmāñ hāthoñ meñ hai pairvī meñ zamīñ hai

    maiñ be sar-o-sāmān tire dar se chalā thā

    be-bas use kar degī havāoñ siyāsat

    bādal vo TukḌā jo samundar se chalā thā

    dene lagā ākāsh ke darvāzoñ pe dastak

    insān vo daur jo patthar se chalā thā

    us shaḳhs shohrat ko na paimāna banāo

    khoTā thā vo sikka jo muqaddar se chalā thā

    us sham ko jab ruTh ke mein ghar se chala tha

    ek saya bhi bichhDe hue manzar se chala tha

    ab aasman hathon mein hai pairwi mein zamin hai

    main be sar-o-saman tere dar se chala tha

    be-bas use kar degi hawaon ki siyasat

    baadal ka wo TukDa jo samundar se chala tha

    dene laga aakash ke darwazon pe dastak

    insan ka wo daur jo patthar se chala tha

    us shaKHs ki shohrat ko na paimana banao

    khoTa tha wo sikka jo muqaddar se chala tha

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 699)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now