us shoKH ne mang li muafi
us shoḳh ne maañg lī mu'āfī
lo zulm kī ho ga.ī talāfī
nazroñ se pilā diyā kareñ aap
mere liye ye davā hai shāfī
tūl-e-shab-e-hijr kī haqīqat
kuchh asl hai aur kuchh izāfī
mahbūb ke sāmne hamārā
jhuknā nahīñ aan ke munāfī
haiñ ham se juḌe hue ka.ī log
jis tarh radīf se qavāfī
maqsūd nahīñ agar bahaknā
do jaam haiñ ai 'sha'ūr' kaafī
us shoKH ne mang li mu'afi
lo zulm ki ho gai talafi
nazron se pila diya karen aap
mere liye ye dawa hai shafi
tul-e-shab-e-hijr ki haqiqat
kuchh asl hai aur kuchh izafi
mahbub ke samne hamara
jhukna nahin aan ke munafi
hain hum se juDe hue kai log
jis tarh radif se qawafi
maqsud nahin agar bahakna
do jam hain ai 'sha'ur' kafi
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 138)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.