Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us sitamgar ne sikha hai KHafa ho jaana

Nasiri Lakhnavi

us sitamgar ne sikha hai KHafa ho jaana

Nasiri Lakhnavi

MORE BYNasiri Lakhnavi

    us sitamgār ne sīkhā hai ḳhafā ho jaanā

    kyā qayāmat huā nāloñ rasā ho jaanā

    naza.a meñ baḌh ke khaTak dil se yahī kahtī hai

    aaj to dard mumkin hai davā ho jaanā

    le ke paiġhām-e-qazā bād-e-bahārī aa.ī

    nā-mubārak huā zaḳhmoñ harā ho jaanā

    arsh tharrā.egā aġhyār ke dil TūTeñge

    naala kartā huuñ magar tum na ḳhafā ho jaanā

    dam nikalnā hai yahī jaan jaanā hai yahī

    dil āsāñ nahīñ pahlū se judā ho jaanā

    pas-e-murdan bhī rahe ḳhāna-e-zanjīr meñ paañv

    is tarah chāhiye pāband-e-vafā ho jaanā

    zalzale aa ke zamāne ko ḳhabar dete haiñ

    nahīñ mumkin tapish-e-dil fanā ho jaanā

    jaan le jā.egā aur dard baḌhā jā.egā

    haath terā mire siine se judā ho jaanā

    abhī baiThe raho maiñ dekh rahā huuñ tum ko

    naza.a ke vaqt gale mil ke judā ho jaanā

    samjho kis darja hai soz-e-ġham-e-ulfat dushvār

    dekh parvānoñ jal jal ke fanā ho jaanā

    zahr bhar detā hai zaḳhmoñ meñ dil-e-vahshī ke

    fasl-e-bārāñ meñ bayābāñ harā ho jaanā

    'nāsirī' phir vahī ham haiñ vahī shorīda-sarī

    phir vahī hāzir-e-bazm-e-sho.arā ho jaanā

    us sitamgar ne sikha hai KHafa ho jaana

    kya qayamat hua nalon ka rasa ho jaana

    naza mein baDh ke khaTak dil se yahi kahti hai

    aaj to dard ka mumkin hai dawa ho jaana

    le ke paigham-e-qaza baad-e-bahaari aai

    na-mubarak hua zaKHmon ka hara ho jaana

    arsh tharraega aghyar ke dil TuTenge

    nala karta hun magar tum na KHafa ho jaana

    dam nikalna hai yahi jaan ka jaana hai yahi

    dil ka aasan nahin pahlu se juda ho jaana

    pas-e-murdan bhi rahe KHana-e-zanjir mein panw

    is tarah chahiye paband-e-wafa ho jaana

    zalzale aa ke zamane ko KHabar dete hain

    nahin mumkin tapish-e-dil ka fana ho jaana

    jaan le jaega aur dard baDha jaega

    hath tera mere sine se juda ho jaana

    abhi baiThe raho main dekh raha hun tum ko

    naza ke waqt gale mil ke juda ho jaana

    samjho kis darja hai soz-e-gham-e-ulfat dushwar

    dekh parwanon ka jal jal ke fana ho jaana

    zahr bhar deta hai zaKHmon mein dil-e-wahshi ke

    fasl-e-baran mein bayaban ka hara ho jaana

    'nasiri' phir wahi hum hain wahi shorida-sari

    phir wahi hazir-e-bazm-e-shoara ho jaana

    Source:

    Nazr-e-Ahbab (Pg. 40)

    • Author: Nasiri Lakhnavi
      • Publisher: Indian Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1933
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now