Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use barishon ne chura liya ki wo baadalon ka makin tha

Hina Sami

use barishon ne chura liya ki wo baadalon ka makin tha

Hina Sami

MORE BYHina Sami

    use bārishoñ ne churā liyā ki vo bādaloñ makīn thā

    kabhī muḌ ke ye bhī to dekhtā ki mirā vajūd zamīn thā

    vahī ek sach thā aur us ke baa'd saarī tohmateñ jhuuT haiñ

    mire dil ko puurā yaqīn hai vo mohabbatoñ amiin thā

    use shauq thā ki kisī jazīre pe us ke naam phuul ho

    mujhe pyaar karnā sikhā gayā mirā dost kitnā zahīn thā

    kabhī sāhiloñ pe phiroge to tumheñ sīpiyāñ batā.eñgī

    mirī aañkh meñ jo simaT gayā vahī ashk sab se hasīn thā

    tujhe kis tarah se ḳhabar huī ki mirī hayāt sañvar ga.ī

    zarā apne dil se to pūchh le ye gumān thā ki yaqīn thā

    use barishon ne chura liya ki wo baadalon ka makin tha

    kabhi muD ke ye bhi to dekhta ki mera wajud zamin tha

    wahi ek sach tha aur us ke ba'd ki sari tohmaten jhuT hain

    mere dil ko pura yaqin hai wo mohabbaton ka amin tha

    use shauq tha ki kisi jazire pe us ke nam ka phul ho

    mujhe pyar karna sikha gaya mera dost kitna zahin tha

    kabhi sahilon pe phiroge to tumhein sipiyan hi bataengi

    meri aankh mein jo simaT gaya wahi ashk sab se hasin tha

    tujhe kis tarah se KHabar hui ki meri hayat sanwar gai

    zara apne dil se to puchh le ye guman tha ki yaqin tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now