Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use is waqt is mahfil mein hona chahiye tha KHair

Sapna Moolchandani

use is waqt is mahfil mein hona chahiye tha KHair

Sapna Moolchandani

MORE BYSapna Moolchandani

    use is vaqt is mahfil meñ honā chāhiye thā ḳhair

    mohabbat meñ anā ko dil se khonā chāhiye thā ḳhair

    na.e rishte banāne the agar shikva bhulā kar sab

    to dāman par lagā vo daaġh dhonā chāhiye thā ḳhair

    paḌhā thā us āñkhoñ meñ adhūrā ek misra' jab

    use likh kar ġhazal biij bonā chāhiye thā ḳhair

    pata thā tum ko mere paas khone ko nahīñ hai kuchh

    mujhe kho dene Dar tum ko honā chāhiye thā ḳhair

    mire qissoñ meñ sun kar naam us log hañste the

    use is baat par thoḌā to ronā chāhiye thā ḳhair

    bichhaḌte vaqt us aañkh meñ kuchh bhī nahīñ dekhā

    use do pal to palkoñ ko bhigonā chāhiye thā ḳhair

    agar sapnoñ meñ karnā thā haqīqat ko bayāñ to phir

    use is ke liye thoḌā to sonā chāhiye thā ḳhair

    maiñ apne 'ishq meñ Duubī thī mujh ko 'ilm kab thā

    use to bas mohabbat khilaunā chāhiye thā ḳhair

    mire dil tasallī ke liye tasvīr bhejī hai

    tumheñ is vaqt mere paas honā chāhiye thā ḳhair

    use is waqt is mahfil mein hona chahiye tha KHair

    mohabbat mein ana ko dil se khona chahiye tha KHair

    nae rishte banane the agar shikwa bhula kar sab

    to daman par laga wo dagh dhona chahiye tha KHair

    paDha tha us ki aankhon mein adhura ek misra' jab

    use likh kar ghazal ka bij bona chahiye tha KHair

    pata tha tum ko mere pas khone ko nahin hai kuchh

    mujhe kho dene ka Dar tum ko hona chahiye tha KHair

    mere qisson mein sun kar nam us ka log hanste the

    use is baat par thoDa to rona chahiye tha KHair

    bichhaDte waqt us ki aankh mein kuchh bhi nahin dekha

    use do pal to palkon ko bhigona chahiye tha KHair

    agar sapnon mein karna tha haqiqat ko bayan to phir

    use is ke liye thoDa to sona chahiye tha KHair

    main apne 'ishq mein Dubi thi mujh ko 'ilm hi kab tha

    use to bas mohabbat ka khilauna chahiye tha KHair

    mere dil ki tasalli ke liye taswir bheji hai

    tumhein is waqt mere pas hona chahiye tha KHair

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now