use kya bhala KHauf-e-tufan hoga
use kyā bhalā ḳhauf-e-tūfān hogā
ḳhudā jis kā yaaro nigahbān hogā
vo insān kyā ḳhaak insān hogā
jo dard-e-mohabbat se anjān hogā
bharosa karoge jahāñ nāḳhudā par
vahīñ Duub jaane kā imkān hogā
ḳhabar kyā thī jis ko samajhte the apnā
vahī ek din dushman-e-jān hogā
mire ghar ko vīrān karne se pahle
samajh le tirā ghar bhī vīrān hogā
muhāfiz jo thā shahr meñ but-kadoñ kā
sunā hai vo kāfir musalmān hogā
diloñ meñ jo ho 'azm-e-mohkam to 'ġhaibī'
har ik kār-e-dushvār āsān hogā
use kya bhala KHauf-e-tufan hoga
KHuda jis ka yaro nigahban hoga
wo insan kya KHak insan hoga
jo dard-e-mohabbat se anjaan hoga
bharosa karoge jahan naKHuda par
wahin Dub jaane ka imkan hoga
KHabar kya thi jis ko samajhte the apna
wahi ek din dushman-e-jaan hoga
mere ghar ko viran karne se pahle
samajh le tera ghar bhi viran hoga
muhafiz jo tha shahr mein but-kadon ka
suna hai wo kafir musalman hoga
dilon mein jo ho 'azm-e-mohkam to 'ghaibi'
har ek kar-e-dushwar aasan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.