Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use ye wahm wo shatir baDa hai

Faraz Hasanpuri

use ye wahm wo shatir baDa hai

Faraz Hasanpuri

MORE BYFaraz Hasanpuri

    use ye vahm vo shātir baḌā hai

    abhī ham se kahāñ paalā paḌā hai

    vo ḳhud ḳhāmosh kab ho rahā thā

    tamāñcha vaqt ne muñh par jaḌā hai

    dalīleñ dete dete thak chukā maiñ

    vo jāhil apnī zid par aḌā hai

    idhar kuchh ahl-e-haq sīna-sipar haiñ

    udhar bātil ik lashkar khaḌā hai

    tirī tāzīm aur kaise karūñ maiñ

    tire qadmoñ meñ merā sar paḌā hai

    maiñ kaise chhoḌ duuñ ab haath us

    mirī ḳhātir vo duniyā se laḌā hai

    ḳhudā.ī jise da.avā thā kal tak

    vo apnī qabr meñ auñdhā paḌā hai

    use kyoñ aa.ina dikhlā rahe ho

    vo be-ġhairat baḌā chiknā ghaḌā hai

    lahū ristā hai mere dil meñ ab tak

    tumhārī yaad ḳhanjar gaḌā hai

    use ye wahm wo shatir baDa hai

    abhi hum se kahan pala paDa hai

    wo KHud KHamosh hi kab ho raha tha

    tamancha waqt ne munh par jaDa hai

    dalilen dete dete thak chuka main

    wo jahil apni hi zid par aDa hai

    idhar kuchh ahl-e-haq sina-sipar hain

    udhar baatil ka ek lashkar khaDa hai

    teri tazim aur kaise karun main

    tere qadmon mein mera sar paDa hai

    main kaise chhoD dun ab hath us ka

    meri KHatir wo duniya se laDa hai

    KHudai ka jise dawa tha kal tak

    wo apni qabr mein aundha paDa hai

    use kyon aaina dikhla rahe ho

    wo be-ghairat baDa chikna ghaDa hai

    lahu rista hai mere dil mein ab tak

    tumhaari yaad ka KHanjar gaDa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now