Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha

Abdul Aleem Aasi

usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha

Abdul Aleem Aasi

MORE BYAbdul Aleem Aasi

    usī ke jalve the lekin visāl-e-yār na thā

    maiñ us ke vāste kis vaqt be-qarār na thā

    koī jahān meñ kyā aur tarah-dār na thā

    tirī tarah mujhe dil par to iḳhtiyār na thā

    ḳhirām-e-jalva ke naqsh-e-qadam the lāla-o-gul

    kuchh aur is ke sivā mausam-e-bahār na thā

    ġhalat hai hukm-e-jahannam kise huā hogā

    ki mujh se baḌh ke to koī gunāhgār na thā

    lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhī nahīñ

    koī libās na thā jo ki musta'ār na thā

    mahv-e-gulban-o-gulzār ho gayā 'āsī'

    tirī nazar meñ ḳhayāl-e-jamāl-e-yār na thā

    usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha

    main us ke waste kis waqt be-qarar na tha

    koi jahan mein kya aur tarah-dar na tha

    teri tarah mujhe dil par to iKHtiyar na tha

    KHiram-e-jalwa ke naqsh-e-qadam the lala-o-gul

    kuchh aur is ke siwa mausam-e-bahaar na tha

    ghalat hai hukm-e-jahannam kise hua hoga

    ki mujh se baDh ke to koi gunahgar na tha

    lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhi nahin

    koi libas na tha jo ki musta'ar na tha

    tu mahw-e-gulban-o-gulzar ho gaya 'asi'

    teri nazar mein KHayal-e-jamal-e-yar na tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now