Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usi ke pyar ko dil se nikal rakkha hai

Mubarak Ansari

usi ke pyar ko dil se nikal rakkha hai

Mubarak Ansari

MORE BYMubarak Ansari

    usī ke pyaar ko dil se nikāl rakkhā hai

    hamesha jis ne hamārā ḳhayāl rakkhā hai

    vagarna TuuT ke kab bikhar gayā hotā

    ḳhayāl-e-yār ne dil ko sambhāl rakkhā hai

    magar haiñ dīda-e-bīnā ko ham sameTe hue

    hamāre aage hamārā ma.aal rakkhā hai

    chale bhī aao ki ham ne dayār-e-ġhair meñ bhī

    sabīl DhūñD rasta nikāl rakkhā hai

    shikasta-ḳhvāb muqaddar kahīñ na ban jaa.eñ

    ḳhudā-e-vaqt ne va.adoñ pe Taal rakkhā hai

    azal ke din se 'mubārak' havāoñ zad par

    mirā vajūd diye misāl rakkhā hai

    usi ke pyar ko dil se nikal rakkha hai

    hamesha jis ne hamara KHayal rakkha hai

    wagarna TuT ke kab ka bikhar gaya hota

    KHayal-e-yar ne dil ko sambhaal rakkha hai

    magar hain dida-e-bina ko hum sameTe hue

    hamare aage hamara maal rakkha hai

    chale bhi aao ki hum ne dayar-e-ghair mein bhi

    sabil DhunD li rasta nikal rakkha hai

    shikasta-KHwab muqaddar kahin na ban jaen

    KHuda-e-waqt ne wadon pe Tal rakkha hai

    azal ke din se 'mubarak' hawaon ki zad par

    mera wajud diye ki misal rakkha hai

    Source:

    aagahi Ka Teesha (Pg. 156)

    • Author: Mubarak Ansari
      • Edition: 2006
      • Publisher: Mubarak Ansari
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now