Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usi ne aadam ke naqsh-e-pa ko azal kiya tha bharam rakha tha

Osama Khalid

usi ne aadam ke naqsh-e-pa ko azal kiya tha bharam rakha tha

Osama Khalid

MORE BYOsama Khalid

    usī ne aadam ke naqsh-e-pā ko azal kiyā thā bharam rakhā thā

    zamīñ pe jalva-fagan na ho kar bhī jis ne pahlā qadam rakhā thā

    ham ek tartīb se tumhārī udaas nazmoñ pe ro chuke haiñ

    ki āñsuoñ aur ḳhuun ke beach DeḌh siskī sam rakhā thā

    za.iif vaqtoñ meñ apne kumbe zimmedārī uThā.ī ham ne

    tumhāre abbū ne muñh dikhā.ī meñ is hathelī pe ġham rakhā thā

    inhī guloñ se ab āThvīñ sur mīThī āvāz aa rahī hai

    jinhoñ ne hijrāñ raat larzish ke ḳhaas unsur ko kam rakhā thā

    use batānā ki apne dariyāoñ hifāzat ke kaam aa.e

    vo peḌ kashtī bane hue haiñ jinhoñ ne sahrā meñ nam rakhā thā

    usi ne aadam ke naqsh-e-pa ko azal kiya tha bharam rakha tha

    zamin pe jalwa-fagan na ho kar bhi jis ne pahla qadam rakha tha

    hum ek tartib se tumhaari udas nazmon pe ro chuke hain

    ki aansuon aur KHun ke beach DeDh siski ka sam rakha tha

    zaif waqton mein apne kumbe ki zimmedari uThai hum ne

    tumhaare abbu ne munh dikhai mein is hatheli pe gham rakha tha

    inhi gulon se ab aaThwin sur ki miThi aawaz aa rahi hai

    jinhon ne hijran ki raat larzish ke KHas unsur ko kam rakha tha

    use batana ki apne dariyaon ki hifazat ke kaam aae

    wo peD kashti bane hue hain jinhon ne sahra mein nam rakha tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now