usi pal TuTa tha sapna hamara
usī pal TuuTā thā sapnā hamārā
kisī ne saath jab chhoḌā hamārā
tire bin zindagī kaise kaTegī
ki jab din bhī nahīñ kaTtā hamārā
tire hoñToñ pe ye inkār kyoñ hai
tirī āñkhoñ meñ hai chehra hamārā
lakīreñ noch liiñ hāthoñ kī phir bhī
muqaddar kyoñ nahīñ badlā hamārā
ye kahnā bevafā se jā ke qāsid
abhī tak dil nahīñ TuuTā hamārā
usi pal TuTa tha sapna hamara
kisi ne sath jab chhoDa hamara
tere bin zindagi kaise kaTegi
ki jab din bhi nahin kaTta hamara
tere honTon pe ye inkar kyon hai
teri aankhon mein hai chehra hamara
lakiren noch lin hathon ki phir bhi
muqaddar kyon nahin badla hamara
ye kahna bewafa se ja ke qasid
abhi tak dil nahin TuTa hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.