Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uTh is hujum se ai bewafa alahida ho

Faisal Imam Rizvi

uTh is hujum se ai bewafa alahida ho

Faisal Imam Rizvi

MORE BYFaisal Imam Rizvi

    uTh is hujūm se ai bevafā alāhida ho

    mirā hisāb chukā de zarā alāhida ho

    ye kārvāñ tujhe raste meñ chhoḌ jā.egā

    apnā qāfila ban ḳhaak uḌā alāhida ho

    ye bāġh-e-husn hamesha harā nahīñ rahtā

    badalne vaalī hai āb-o-havā alāhida ho

    hamārā jurm hai kaalā libās aur mātam

    hamāre jurm shāyad sazā alāhida ho

    ye log dost nahīñ haiñ faqat munāfiq haiñ

    na in ko dāġh-e-mohabbat dikhā alāhida ho

    ḳhāk-zād hai miTTī tirā Thikāna hai

    utar ke taḳht se miTTī pe aa alāhida ho

    yahāñ pe sabz rutoñ ko agar bachānā hai

    alam surḳh pharerā banā alāhida ho

    maiñ apne ġham bahāroñ meñ mast huuñ yā-rab

    mujhe chaman se na vāpas bulā alāhida ho

    mire karam haiñ jale aur tire karam chamke

    hamārā donoñ shāyad ḳhudā alāhida ho

    agar zamīn pe qabza huā to kyā ġham hai

    mire ḳhayāl kuchh silsila alāhida ho

    mujhe ġhazal tavālat pe zor denā paḌā

    ki lutf aur nishāñ ranj alāhida ho

    vo ḳhud qatār meñ baiThā rahā magar 'faisal'

    mujhe ishāre se kahne lagā alāhida ho

    uTh is hujum se ai bewafa alahida ho

    mera hisab chuka de zara alahida ho

    ye karwan tujhe raste mein chhoD jaega

    tu apna qafila ban KHak uDa alahida ho

    ye bagh-e-husn hamesha hara nahin rahta

    badalne wali hai aab-o-hawa alahida ho

    hamara jurm hai kala libas aur matam

    hamare jurm ki shayad saza alahida ho

    ye log dost nahin hain faqat munafiq hain

    na in ko dagh-e-mohabbat dikha alahida ho

    tu KHak-zad hai miTTi tera Thikana hai

    utar ke taKHt se miTTi pe aa alahida ho

    yahan pe sabz ruton ko agar bachana hai

    alam ka surKH pharera bana alahida ho

    main apne gham ki bahaaron mein mast hun ya-rab

    mujhe chaman se na wapas bula alahida ho

    mere karam hain jale aur tere karam chamke

    hamara donon ka shayad KHuda alahida ho

    agar zamin pe qabza hua to kya gham hai

    mere KHayal ka kuchh silsila alahida ho

    mujhe ghazal ki tawalat pe zor dena paDa

    ki lutf aur nishan ranj ka alahida ho

    wo KHud qatar mein baiTha raha magar 'faisal'

    mujhe ishaare se kahne laga alahida ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now