Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uTh raha hai aashiyanon se dhuan dekhega kaun

Pirzada Qasim

uTh raha hai aashiyanon se dhuan dekhega kaun

Pirzada Qasim

MORE BYPirzada Qasim

    uTh rahā hai āshiyānoñ se dhuāñ dekhegā kaun

    hai magar ta.abīr ḳhvāb-e-rā.egāñ dekhegā kaun

    jal rahī hai dil meñ ik āfāq se rishte lau

    jaise ham dekhe haiñ sū-e-asmāñ dekhegā kaun

    bahut ā.indagāñ khīñchtā hai intizār

    be-ḳhabar vo raunaq-e-ā.indagāñ dekhegā kaun

    ek ehsās-e-shikast-e-shab bahut raushan magar

    be-karāñ is be-hisī ke darmiyāñ dekhegā kaun

    aarzū ik jahān-e-tāza bhī manzar meñ hai

    maiñ jise pahchāntā huuñ vo jahāñ dekhegā kaun

    rāste raushan bahut kartā rahā huuñ zer-e-pā

    duur tak phaile haiñ qadmoñ ke nishāñ dekhegā kaun

    daad jāñkāhī kis se paa.eñ ab ahl-e-hunar

    ḳhūñ-chakīdā ḳhāma ristī uñgliyāñ dekhegā kaun

    dekhte haiñ sab furū-e-shauq zebā.isheñ

    kam nahīñ kuchh ye ma.āl-e-shauq haañ dekhegā kaun

    rafta rafta ho rahegā zaḳhm-e-dil indimāl

    bujhte bujhte bujh jā.egī fuġhāñ dekhegā kaun

    dekh dil meñ ho rahā hai ik nayā manzar tulūa

    jo idhar bikhrī paḌī hai kahkashāñ dekhegā kaun

    uTh raha hai aashiyanon se dhuan dekhega kaun

    hai magar tabir KHwab-e-raegan dekhega kaun

    jal rahi hai dil mein ek aafaq se rishte ki lau

    jaise hum dekhe hain su-e-asman dekhega kaun

    tu bahut aaindagan ka khinchta hai intizar

    be-KHabar wo raunaq-e-aindagan dekhega kaun

    ek ehsas-e-shikast-e-shab bahut raushan magar

    be-karan is be-hisi ke darmiyan dekhega kaun

    aarzu ka ek jahan-e-taza bhi manzar mein hai

    main jise pahchanta hun wo jahan dekhega kaun

    raste raushan bahut karta raha hun zer-e-pa

    dur tak phaile hain qadmon ke nishan dekhega kaun

    dad jaankahi ki kis se paen ab ahl-e-hunar

    KHun-chakida KHama risti ungliyan dekhega kaun

    dekhte hain sab furu-e-shauq ki zebaishen

    kam nahin kuchh ye maal-e-shauq han dekhega kaun

    rafta rafta ho rahega zaKHm-e-dil ka indimal

    bujhte bujhte bujh hi jaegi fughan dekhega kaun

    dekh dil mein ho raha hai ek naya manzar tulua

    jo idhar bikhri paDi hai kahkashan dekhega kaun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now