aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uThate hain wo jab ruKH se naqab aahista aahista

Iqbal Bharti

uThate hain wo jab ruKH se naqab aahista aahista

Iqbal Bharti

MORE BYIqbal Bharti

    uThāte haiñ vo jab ruḳh se naqāb āhista āhista

    nikaltā hai ufuq se māhtāb āhista āhista

    taġhāful un aadat hai tasāhul un fitrat hai

    likheñge vo mire ḳhat javāb āhista āhista

    umañD aa.e mirī āñkhoñ meñ aañsū be-qarārī ke

    ye kaisā rang laayā iztirāb āhista āhista

    are tauba baḌī tauba-shikan āvāz hotī hai

    jo paimāne meñ Dhaltī hai sharāb āhista āhista

    nazar 'iqbāl' terī soz-e-pinhāñ par nahīñ shāyad

    huā jaatā hai dil jal kar kabāb āhista āhista

    uThate hain wo jab ruKH se naqab aahista aahista

    nikalta hai ufuq se mahtab aahista aahista

    taghaful un ki aadat hai tasahul un ki fitrat hai

    likhenge wo mere KHat ka jawab aahista aahista

    umanD aae meri aankhon mein aansu be-qarari ke

    ye kaisa rang laya iztirab aahista aahista

    are tauba baDi tauba-shikan aawaz hoti hai

    jo paimane mein Dhalti hai sharab aahista aahista

    nazar 'iqbaal' teri soz-e-pinhan par nahin shayad

    hua jata hai dil jal kar kabab aahista aahista

    Source:

    Tanveer-e-Ghazal (Pg. 76)

    • Author: Iqbal Bharti
      • Publisher: Iqbal Bharti
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now