uThte hain bulbule lab-e-wijdan ba-sad-KHarosh
uThte haiñ bulbule lab-e-vijdāñ ba-sad-ḳharosh
duniyā-e-'aql-o-vajd kī hairānī rū-e-dosh
pinhāñ haiñ sad-savāl pas-e-parda-e-hayā
dil de diyā javāb thā lekin rahe ḳhamosh
āñkheñ nazar samajh sabhī andām-e-his tamām
āvāz-e-'azm niyyateñ sunte ba-hosh-e-gosh
bāzār-e-zindagī ke ḳharīdār-o-mushtarī
be-rah-ravī meñ ho ga.e sab hī anā-farosh
ik mauj-e-ġham-gazīdgī se haiñ niDhāl sab
ā.īna-e-durust meñ sab hī sarāb-posh
dekhūñ jidhar faqat hai hayā-hū-e-kām-o-āz
miltā hai jo ġharīq-e-balā-hā-e-nāv-nosh
'āhan' ba-hāl-e-be-ḳhabarī sab safar hazar
mātam-kunāñ ho kyoñ na hama-vaqt ab sarosh
uThte hain bulbule lab-e-wijdan ba-sad-KHarosh
duniya-e-'aql-o-wajd ki hairani ru-e-dosh
pinhan hain sad-sawal pas-e-parda-e-haya
dil de diya jawab tha lekin rahe KHamosh
aankhen nazar samajh sabhi andam-e-his tamam
aawaz-e-'azm niyyaten sunte ba-hosh-e-gosh
bazar-e-zindagi ke KHaridar-o-mushtari
be-rah-rawi mein ho gae sab hi ana-farosh
ek mauj-e-gham-gazidgi se hain niDhaal sab
aaina-e-durust mein sab hi sarab-posh
dekhun jidhar faqat hai haya-hu-e-kaam-o-az
milta hai jo ghariq-e-bala-ha-e-naw-nosh
'ahan' ba-haal-e-be-KHabari sab safar hazar
matam-kunan ho kyon na hama-waqt ab sarosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.