Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uTThe kahin se dard-e-jigar tumko is se kya

Hajra Noor Zaryab

uTThe kahin se dard-e-jigar tumko is se kya

Hajra Noor Zaryab

MORE BYHajra Noor Zaryab

    uTThe kahīñ se dard-e-jigar tum ko is se kyā

    lete nahīñ ho merī ḳhabar tum ko is se kyā

    do qadam chalī thī paḌe chhāle paañv meñ

    ġham se hai chuur zauq-e-safar tum ko is se kyā

    hālāt ne hañsī mire hoñToñ se chhīn

    rotī huuñ ab maiñ shām-o-sahar tum ko is se kyā

    kāġhaz phuul chhū luuñ to vo bhī mahak uThe

    dekho na tum jo dast-e-hunar tum ko is se kyā

    dekho na mujh ko hañs ke zamāna ḳharāb hai

    rusvā.ī hai mujh ko bhī Dar tum ko is se kyā

    manzil pukārtī hai chale aao jald tum

    hai ūñchī nīchī tirchhī Dagar tum ko is se kyā

    'zaryāb' se ye tum ne kahā chāhtā huuñ maiñ

    patthar ho ga.ī hai nazar tum ko is se kyā

    uTThe kahin se dard-e-jigar tum ko is se kya

    lete nahin ho meri KHabar tum ko is se kya

    do hi qadam chali thi paDe chhaale panw mein

    gham se hai chur zauq-e-safar tum ko is se kya

    haalat ne hansi mere honTon se chhin li

    roti hun ab main sham-o-sahar tum ko is se kya

    kaghaz ka phul chhu lun to wo bhi mahak uThe

    dekho na tum jo dast-e-hunar tum ko is se kya

    dekho na mujh ko hans ke zamana KHarab hai

    ruswai ka hai mujh ko bhi Dar tum ko is se kya

    manzil pukarti hai chale aao jald tum

    hai unchi nichi tirchhi Dagar tum ko is se kya

    'zaryab' se ye tum ne kaha chahta hun main

    patthar si ho gai hai nazar tum ko is se kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now