Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unche makan kha gae sab mere ghar ki dhup

Fasihullah Naqeeb

unche makan kha gae sab mere ghar ki dhup

Fasihullah Naqeeb

MORE BYFasihullah Naqeeb

    ūñche makān khā ga.e sab mere ghar dhuup

    hisse meñ mere rah ga.ī bālisht bhar dhuup

    kartā rahūñ nigāh milā kar maiñ guftugū

    har chand chubh rahī ho tire karr-o-far dhuup

    saaya darīda-pairahanī par ḳhudī thā

    resham lams laa.ī thī go sīm-o-zar dhuup

    zarḳhezī-e-zamīn-e-suḳhan ke liye mufīd

    dil havā shu.ūr paanī nazar dhuup

    dil ke gumān ki duā ke yaqīn

    ehsās ke lihāf laa.ī kohar dhuup

    to dimāġh-o-dil ke añdheroñ ko duur kar

    apnī raah le baḌī aa.ī kidhar dhuup

    rahiye 'naqīb' aisī fazā meñ ki hai jahāñ

    sher-o-adab chāñdnī ilm-o-hunar dhuup

    unche makan kha gae sab mere ghar ki dhup

    hisse mein mere rah gai baalisht bhar ki dhup

    karta rahun nigah mila kar main guftugu

    har chand chubh rahi ho tere karr-o-far ki dhup

    saya darida-pairahani par KHudi ka tha

    resham sa lams lai thi go sim-o-zar ki dhup

    zarKHezi-e-zamin-e-suKHan ke liye mufid

    dil ki hawa shuur ka pani nazar ki dhup

    dil ke guman sa ki dua ke yaqin sa

    ehsas ke lihaf sa lai kohar ki dhup

    ya to dimagh-o-dil ke andheron ko dur kar

    ya apni rah le baDi aai kidhar ki dhup

    rahiye 'naqib' aisi faza mein ki hai jahan

    sher-o-adab ki chandni ilm-o-hunar ki dhup

    Source:

    Widrabh mein Jadeed Urdu Shairi: Ek Motala (Pg. 105)

      • Publisher: Mohammad Azhar Hayat
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now