Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wabasta-e-dam-e-hosh-o-KHirad hangama-e-wahshat karna hai

Qazi Syed Mushtaq Naqvi

wabasta-e-dam-e-hosh-o-KHirad hangama-e-wahshat karna hai

Qazi Syed Mushtaq Naqvi

MORE BYQazi Syed Mushtaq Naqvi

    vābasta-e-dām-e-hosh-o-ḳhirad hangāma-e-vahshat karnā hai

    ta.amīr ke rangīñ phūloñ se taḳhrīb dāman bharnā hai

    phir azm-e-taqāzā denā hai jazbāt-e-shikasta-fitrat ko

    ubhre hue shor-e-tūfāñ har mauj ko sāhil karnā hai

    vo fitrat-e-zauq-e-azm kyā jo ġhair pe takiya kar baiThe

    kis kaam aisā jiinā hai kis kaam aisā marnā hai

    tūfān se Takrāne vaale andāza-e-tūfāñ kyā ma.anī

    ab quvvat-e-bāzū par tujh ko apne bharosa karnā hai

    koshish hai ye apnī shām-o-sahar har shāḳh nasheman ho jaa.e

    bijlī ke ishāre kahte haiñ tārāj chaman ko karnā hai

    vo azm nahīñ vo baat nahīñ vo sub.h nahīñ vo shaam nahīñ

    marne ke liye jiite the kabhī jiine ke liye ab marnā hai

    vābasta-e-daur-e-ranj-o-alam hai rāh-e-mohabbat manzil

    'mushtāq' qadam is manzil meñ ab soch samajh kar dharnā hai

    wabasta-e-dam-e-hosh-o-KHirad hangama-e-wahshat karna hai

    tamir ke rangin phulon se taKHrib ka daman bharna hai

    phir azm-e-taqaza dena hai jazbaat-e-shikasta-fitrat ko

    ubhre hue shor-e-tufan ki har mauj ko sahil karna hai

    wo fitrat-e-zauq-e-azm hi kya jo ghair pe takiya kar baiThe

    kis kaam ka aisa jina hai kis kaam ka aisa marna hai

    tufan se Takrane wale andaza-e-tufan kya mani

    ab quwwat-e-bazu par tujh ko apne hi bharosa karna hai

    koshish hai ye apni sham-o-sahar har shaKH nasheman ho jae

    bijli ke ishaare kahte hain taraj chaman ko karna hai

    wo azm nahin wo baat nahin wo subh nahin wo sham nahin

    marne ke liye jite the kabhi jine ke liye ab marna hai

    wabasta-e-daur-e-ranj-o-alam hai rah-e-mohabbat ki manzil

    'mushtaq' qadam is manzil mein ab soch samajh kar dharna hai

    Source:

    (Pg. 91)

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 91)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now