Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wada-e-wasl-e-yar ne mara

Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi

wada-e-wasl-e-yar ne mara

Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi

MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi

    va.ada-e-vasl-e-yār ne maarā

    lazzat-e-intizār ne maarā

    jalva-e-gul-ezār ne maarā

    ek jān-e-bahār ne maarā

    pā.emāl-e-ġham-e-havādis huuñ

    sitam-e-rozgār ne maarā

    na khulā uqda-e-fareb-e-shuhūd

    dīda-e-e'tibār ne maarā

    dast-e-jaur-e-ḳhizāñ kyā shikva

    mujh ko josh-e-bahār ne maarā

    jabr aur vo bhī kis ġhazab jabr

    tohmat-e-iḳhtiyār ne maarā

    de ke 'farruḳh' mujhe payām-e-vafā

    ik taġhāful-shi.ār ne maarā

    wada-e-wasl-e-yar ne mara

    lazzat-e-intizar ne mara

    jalwa-e-gul-ezar ne mara

    ek jaan-e-bahaar ne mara

    paemal-e-gham-e-hawadis hun

    sitam-e-rozgar ne mara

    na khula uqda-e-fareb-e-shuhud

    dida-e-e'tibar ne mara

    dast-e-jaur-e-KHizan ka kya shikwa

    mujh ko josh-e-bahaar ne mara

    jabr aur wo bhi kis ghazab ka jabr

    tohmat-e-iKHtiyar ne mara

    de ke 'farruKH' mujhe payam-e-wafa

    ek taghaful-shiar ne mara

    Source:

    Tajalliyat-e-Farrukh (Pg. 140)

    • Author: Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
      • Publisher: Sarfaraz Qaumi Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1930
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now