Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap

Asad Ali Khan Qalaq

wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap

Asad Ali Khan Qalaq

MORE BYAsad Ali Khan Qalaq

    va.ada-ḳhilāf kitne haiñ ai rashk-e-māh aap

    sach to ye hai ki jhūToñ ke haiñ bādshāh aap

    daftar siyāh karte haiñ kyuuñ kātib-e-amal

    huuñ maġhrib gunāhoñ maiñ rū-siyāh aap

    ham se to dil meñ aap ke ab tak na ghar huā

    kar lete haiñ diloñ meñ ye kis tarah raah aap

    ye gah bhī kafsh-ḳhāna hai āḳhir huzūr

    tashrīf yaañ bhī laayā kareñ gaah gaah aap

    mahshar talak rahegā in āñkhoñ ko shauq-e-dīd

    dekheñ ki ab dikhāte haiñ tā-chand raah aap

    tashbīh naam āñkhoñ hai sūjhnā muhāl

    saarī bayāz karte haiñ nā-haq siyāh aap

    kuchh husn haiñ afsar-e-ḳhūbāñ nahīñ huzūr

    haiñ mulk-e-ān-o-nāz ke bhī bādshāh aap

    aariz abhī haiñ ruup pe ḳhat aane dījiye

    kar lījiyegā farq-e-safed-o-siyāh aap

    kyuuñ us ne kū-e-yār se bāhar nikāle paañv

    majnūñ huā hai haath se apne tabāh aap

    kalima paḌhe huzūr dekhe jo sāmrī

    rakhte haiñ aisī sehr chashm-o-nigāh aap

    sab āshiqoñ ke ek se hote nahīñ chain

    khoTā kharā parakhne rakhiye nigāh aap

    darmāndoñ hai kaun ba-juz un ke dast-gīr

    apne apāhijoñ ko vo leñge nibāh aap

    mujh rū-siyah hai ye duā vaqt-e-bāz-purs

    rakhiyegā apne lutf-o-karam par nigāh aap

    ulfat kyā yahī hai natīja jahān meñ

    āshiq ko qatl karte haiñ kyuuñ be-gunāh aap

    dil de ke bahr-e-fikr meñ ho ġhota-zan abas

    dariyā-e-ishq nahīñ pā.eñge thaah aap

    azm-e-safar to mulk-e-adam hai ai 'qalaq'

    kuchh apne saath le bhī chale zād-e-rāh aap

    wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap

    sach to ye hai ki jhuTon ke hain baadshah aap

    daftar siyah karte hain kyun katib-e-amal

    hun maghrib gunahon ka main ru-siyah aap

    hum se to dil mein aap ke ab tak na ghar hua

    kar lete hain dilon mein ye kis tarah rah aap

    ye gah bhi kafsh-KHana hai aaKHir huzur ka

    tashrif yan bhi laya karen gah gah aap

    mahshar talak rahega in aankhon ko shauq-e-did

    dekhen ki ab dikhate hain ta-chand rah aap

    tashbih nam aankhon ki hai sujhna muhaal

    sari bayaz karte hain na-haq siyah aap

    kuchh husn hi hain afsar-e-KHuban nahin huzur

    hain mulk-e-an-o-naz ke bhi baadshah aap

    aariz abhi hain rup pe KHat aane dijiye

    kar lijiyega farq-e-safed-o-siyah aap

    kyun us ne ku-e-yar se bahar nikale panw

    majnun hua hai hath se apne tabah aap

    kalima paDhe huzur ka dekhe jo samri

    rakhte hain aisi sehr ki chashm-o-nigah aap

    sab aashiqon ke ek se hote nahin chain

    khoTa khara parakhne ki rakhiye nigah aap

    darmandon ka hai kaun ba-juz un ke dast-gir

    apne apahijon ko wo lenge nibah aap

    mujh ru-siyah ki hai ye dua waqt-e-baz-purs

    rakhiyega apne lutf-o-karam par nigah aap

    ulfat ka kya yahi hai natija jahan mein

    aashiq ko qatl karte hain kyun be-gunah aap

    dil de ke bahr-e-fikr mein ho ghota-zan abas

    dariya-e-ishq ki nahin paenge thah aap

    azm-e-safar to mulk-e-adam ka hai ai 'qalaq'

    kuchh apne sath le bhi chale zad-e-rah aap

    Source:

    Mazhar-e-Ishq (Pg. e-56 p-54)

    • Author: Asad Ali Khan Qalaq
      • Edition: 1911
      • Publisher: Munshi Naval Kishor, Kanpur
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now