aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wan to milne ka irada hi nahin

Nizam Rampuri

wan to milne ka irada hi nahin

Nizam Rampuri

MORE BYNizam Rampuri

    vaañ to milne irāda nahīñ

    yaañ vo ḳhvāhish hai ki hotā nahīñ

    yuuñ satāne ke to laa.eq the na ham

    aap ne kuchh hameñ samjhā nahīñ

    jis se taskīñ ho mirī ai qāsid

    aisī to baat kahtā nahīñ

    aur bhī aisī to bāteñ haiñ bahut

    gila-e-rañjish-e-bejā nahīñ

    le ga.iiñ nīchī nigāheñ dil ko

    aañkh uThā kar abhī dekhā nahīñ

    rashk-e-dushman se nasīhat huī aap

    dil vahāñ jaane ko hotā nahīñ

    aur jo zulm ho manzūr mujhe

    ġhair se rabt gavārā nahīñ

    yaañ to ye muntazir-e-va.ada ham

    aur vaañ yaad vo va.adā nahīñ

    rabt-e-dushman se hai inkār abas

    hameñ is baat shikvā nahīñ

    ham ḳhudā se bhī nahīñ māñgte kuchh

    yaañ koī apnī tamannā nahīñ

    na sahī koī burā.ī na sahī

    tum se milnā mujhe achchhā nahīñ

    us har baat ko sach samjhe 'nizām'

    us ayyār to paidā nahīñ

    wan to milne ka irada hi nahin

    yan wo KHwahish hai ki hota hi nahin

    yun satane ke to laeq the na hum

    aap ne kuchh hamein samjha hi nahin

    jis se taskin ho meri ai qasid

    aisi to baat tu kahta hi nahin

    aur bhi aisi to baaten hain bahut

    gila-e-ranjish-e-beja hi nahin

    le gain nichi nigahen dil ko

    aankh uTha kar abhi dekha hi nahin

    rashk-e-dushman se nasihat hui aap

    dil wahan jaane ko hota hi nahin

    aur jo zulm ho manzur mujhe

    ghair se rabt gawara hi nahin

    yan to ye muntazir-e-wada hum

    aur wan yaad wo wada hi nahin

    rabt-e-dushman se hai inkar abas

    hamein is baat ka shikwa hi nahin

    hum KHuda se bhi nahin mangte kuchh

    yan koi apni tamanna hi nahin

    na sahi koi burai na sahi

    tum se milna mujhe achchha hi nahin

    us ki har baat ko sach samjhe 'nizam'

    us sa ayyar to paida hi nahin

    Source:

    kulliyat-e-nizaam (Pg. 211)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now