Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqif-e-haal nasim-e-sahari hai ki nahin

Shakeel Nashtar

waqif-e-haal nasim-e-sahari hai ki nahin

Shakeel Nashtar

MORE BYShakeel Nashtar

    vāqif-e-hāl nasīm-e-saharī hai ki nahīñ

    god phūloñ se gulsitāñ bharī hai ki nahīñ

    ba.ad meñ sochnā kis dar se hue the dāḳhil

    pahle dekho ye vahī bāra-darī hai ki nahīñ

    qāfila luT bhī chukā rāh-numā soch meñ hai

    mujh pe ilzām ġhalat rāhbarī hai ki nahīñ

    merā dil toḌne vaalo ye batāo duniyā

    aaj bhī kār--gah-e-shīsha-garī hai ki nahīñ

    sirf ye dekhne aate haiñ havā ke jhoñke

    shāḳh har zaḳhm-e-tamannā harī hai ki nahīñ

    vo charāġh-e-shab-e-āḳhir huuñ ki ab sochtā huuñ

    mere dāman meñ koī ḳhush-ḳhabarī hai ki nahīñ

    'nashtar' āzād haiñ āzādī ye daur magar

    daur-e-āzādī-e-be-bāl-o-parī hai ki nahīñ

    waqif-e-haal nasim-e-sahari hai ki nahin

    god phulon se gulsitan ki bhari hai ki nahin

    baad mein sochna kis dar se hue the daKHil

    pahle dekho ye wahi bara-dari hai ki nahin

    qafila luT bhi chuka rah-numa soch mein hai

    mujh pe ilzam ghalat rahbari hai ki nahin

    mera dil toDne walo ye batao duniya

    aaj bhi kar--gah-e-shisha-gari hai ki nahin

    sirf ye dekhne aate hain hawa ke jhonke

    shaKH har zaKHm-e-tamanna ki hari hai ki nahin

    wo charagh-e-shab-e-aKHir hun ki ab sochta hun

    mere daman mein koi KHush-KHabari hai ki nahin

    'nashtar' aazad hain aazadi ka ye daur magar

    daur-e-azadi-e-be-baal-o-pari hai ki nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now