Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqif nahin hai koi hasinon ki chaal se

Hajir Dehlwi

waqif nahin hai koi hasinon ki chaal se

Hajir Dehlwi

MORE BYHajir Dehlwi

    vāqif nahīñ hai koī hasīnoñ chaal se

    dil shikār karte haiñ zulfoñ ke jaal se

    nāseh ḳhudā ke vāste zikr-e-sanam na kar

    hotā hai ranj aur kisī ke ḳhayāl se

    aa.egā baaz na 'adū se mile baġhair

    zāhir ye ho rahā hai tirī chāl-Dhāl se

    us ke liye jahān meñ lutf-e-hayāt kyā

    māyūs ho gayā ho jo tere visāl se

    ab raaz ham se khiñchne mā'lūm ho gayā

    karte ho ḳhush 'adū ko hamāre malāl se

    ye bhī hai ik salīqa-e-inkār dekhnā

    chīñ-bar-jabīñ vo hote haiñ mere savāl se

    achchhā ye 'ishq achchhī ye dil-bastagī huī

    aaya huuñ tang roz ke ranj-o-malāl se

    yuuñ to bashar ke vāste iksīr hai sharāb

    piinā hai is shart magar e'tidāl se

    dil meñ agar vo ḳhush hoñ to hairat hai maqām

    zāhir meñ jo ḳhafā haiñ mirī ‘arz-e-hāl se

    kyā kyā guzar chukī hai mire dil pe hijr meñ

    vāqif nahīñ haiñ aap abhī mere haal se

    'hājir' ke mo'taqid hoñ ye ham ko yaqīn hai

    kar mileñ gar aap bhī us bā-kamāl se

    waqif nahin hai koi hasinon ki chaal se

    dil ka shikar karte hain zulfon ke jal se

    naseh KHuda ke waste zikr-e-sanam na kar

    hota hai ranj aur kisi ke KHayal se

    aaega baz tu na 'adu se mile baghair

    zahir ye ho raha hai teri chaal-Dhaal se

    us ke liye jahan mein lutf-e-hayat kya

    mayus ho gaya ho jo tere visal se

    ab raaz hum se khinchne ka ma'lum ho gaya

    karte ho KHush 'adu ko hamare malal se

    ye bhi hai ek saliqa-e-inkar dekhna

    chin-bar-jabin wo hote hain mere sawal se

    achchha ye 'ishq achchhi ye dil-bastagi hui

    aaya hun tang roz ke ranj-o-malal se

    yun to bashar ke waste iksir hai sharab

    pina hai is ka shart magar e'tidal se

    dil mein agar wo KHush hon to hairat ka hai maqam

    zahir mein jo KHafa hain meri ‘arz-e-haal se

    kya kya guzar chuki hai mere dil pe hijr mein

    waqif nahin hain aap abhi mere haal se

    'hajir' ke mo'taqid hon ye hum ko yaqin hai

    ja kar milen gar aap bhi us ba-kamal se

    Source:

    Beesvin Sadi Ke Shora-e-Dehli (Pg. 112)

      • Publisher: Urdu Academy, Delhi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now