Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wafa ke bab mein apna misaliya ho jaun

Irfan Sattar

wafa ke bab mein apna misaliya ho jaun

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    vafā ke baab meñ apnā misāliyā ho jā.ūñ

    tire firāq se pahle maiñ judā ho jā.ūñ

    maiñ apne-āp ko tere sabab se jāntā huuñ

    tire yaqīn se haT kar to vāhima ho jā.ūñ

    ta.alluqāt ke barzaḳh meñ ain-mumkin hai

    zarā dukh vo mujhe de to maiñ tirā ho jā.ūñ

    abhī maiñ ḳhush huuñ to ġhāfil na jaan ḳhud se mujhe

    na jaane kaun laġhzish pe maiñ ḳhafā ho jā.ūñ

    abhī to raah meñ haa.il hai aarzū fasīl

    zarā ye ishq sivā ho to jā-ba-jā ho jā.ūñ

    abhī to vaqt tanaffus ke saath chaltā hai

    zarā Thahar ki maiñ is jism se rihā ho jā.ūñ

    abhī to maiñ bhī tirī justujū meñ shāmil huuñ

    qarīb hai ki tamannā se māvarā ho jā.ūñ

    ḳhamoshiyāñ haiñ añdherā hai be-yaqīnī hai

    na ho jo yaad bhī terī to maiñ ḳhalā ho jā.ūñ

    kisī se mil ke bichhaḌnā baḌī aziyyat hai

    to kyā maiñ ahd-e-tamanā fāsla ho jā.ūñ

    tire ḳhayāl sūrat-garī shauq liye

    maiñ ḳhvāb ho to gayā huuñ ab aur kyā ho jā.ūñ?

    ye harf o saut rishta hai zindagī dalīl

    ḳhudā vo din na dikhā.e ki be-sadā ho jā.ūñ

    vo jis ne mujh ko tire hijr meñ bahāl rakhā

    aa gayā hai to kyā us se bevafā ho jā.ūñ

    wafa ke bab mein apna misaliya ho jaun

    tere firaq se pahle hi main juda ho jaun

    main apne-ap ko tere sabab se jaanta hun

    tere yaqin se haT kar to wahima ho jaun

    talluqat ke barzaKH mein ain-mumkin hai

    zara sa dukh wo mujhe de to main tera ho jaun

    abhi main KHush hun to ghafil na jaan KHud se mujhe

    na jaane kaun si laghzish pe main KHafa ho jaun

    abhi to rah mein hail hai aarzu ki fasil

    zara ye ishq siwa ho to ja-ba-ja ho jaun

    abhi to waqt tanaffus ke sath chalta hai

    zara Thahar ki main is jism se riha ho jaun

    abhi to main bhi teri justuju mein shamil hun

    qarib hai ki tamanna se mawara ho jaun

    KHamoshiyan hain andhera hai be-yaqini hai

    na ho jo yaad bhi teri to main KHala ho jaun

    kisi se mil ke bichhaDna baDi aziyyat hai

    to kya main ahd-e-tamana ka fasla ho jaun

    tere KHayal ki surat-gari ka shauq liye

    main KHwab ho to gaya hun ab aur kya ho jaun?

    ye harf o saut ka rishta hai zindagi ki dalil

    KHuda wo din na dikhae ki be-sada ho jaun

    wo jis ne mujh ko tere hijr mein bahaal rakha

    tu aa gaya hai to kya us se bewafa ho jaun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    wafa ke bab mein apna misaliya ho jaun Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now