Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wafa ki manzilon ko humne is tarah saja liya

Wafa Siddiqui

wafa ki manzilon ko humne is tarah saja liya

Wafa Siddiqui

MORE BYWafa Siddiqui

    vafā manziloñ ko ham ne is tarah sajā liyā

    qadam qadam pe ik charāġh-e-ārzū jalā liyā

    rah-e-hayāt meñ hazār uljhaneñ rahīñ magar

    tumhārā ġham jahāñ milā use gale lagā liyā

    hamāre hausle hamārī jur.ateñ to dekhiye

    qazā ko apnī zindagī pāsbāñ banā liyā

    hazār baar ham farāz-e-dār se guzar ga.e

    hazār baar ham ne un zarf aazmā liyā

    ḳhirad to saath de sakī na rāh-e-ishq meñ magar

    junūñ ek thā ki jis ko ham-safar banā liyā

    phir aaj ahl-e-jaur ko shikast-e-fāsh ho ga.ī

    phir aaj ahl-e-dil ne parcham-e-'vafā' uThā liyā

    wafa ki manzilon ko hum ne is tarah saja liya

    qadam qadam pe ek charagh-e-arzu jala liya

    rah-e-hayat mein hazar uljhanen rahin magar

    tumhaara gham jahan mila use gale laga liya

    hamare hausle hamari juraten to dekhiye

    qaza ko apni zindagi ka pasban bana liya

    hazar bar hum faraaz-e-dar se guzar gae

    hazar bar hum ne un ka zarf aazma liya

    KHirad to sath de saki na rah-e-ishq mein magar

    junun hi ek tha ki jis ko ham-safar bana liya

    phir aaj ahl-e-jaur ko shikast-e-fash ho gai

    phir aaj ahl-e-dil ne parcham-e-'wafa' uTha liya

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 532)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now