Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wafa-koshi nahin jati sitam-rani nahin jati

Rajendr Bahadur Mauj

wafa-koshi nahin jati sitam-rani nahin jati

Rajendr Bahadur Mauj

MORE BYRajendr Bahadur Mauj

    vafā-koshī nahīñ jaatī sitam-rānī nahīñ jaatī

    ye apnī apnī aadat hai ba-āsānī nahīñ jaatī

    hijāboñ se haqīqat daraḳhshānī nahīñ jaatī

    ki lau fānūs ke andar hai tābānī nahīñ jaatī

    junūn-e-ishq ai dil farāvānī nahīñ jaatī

    ki manzil sāmne hai aur pahchānī nahīñ jaatī

    nahīñ jaatī hamārī ḳhāna-vīrānī nahīñ jaatī

    ki sho.ale bujh chuke haiñ sho.ala-sāmānī nahīñ jaatī

    tajāhul ārifāna un bazm-e-ġhair meñ tauba

    ki pahchānī huī sūrat bhī pahchānī nahīñ jaatī

    chaman meñ raat bhar go bāda-e-shabnam barastī hai

    gul-o-bulbul phir bhī pāk-dāmanī nahīñ jaatī

    kahāñ ham haiñ ki man-mānī tumhārī maan lete haiñ

    hamārī mānñe baat bhī maanī nahīñ jaatī

    nigāh-e-husn kuchh kaam kar jaa.e to mumkin hai

    rafū karne se varna chāk-dāmānī nahīñ jaatī

    muḳhālif kuchh kareñ urdu zabāñ miT nahīñ saktī

    ki jab tak apnī mahfil se ġhazal-ḳhvānī nahīñ jaatī

    mohabbat 'mauj' vo dariyā hai jis thaah mushkil hai

    agar ik baar aa jaatī hai tuġhyānī nahīñ jaatī

    wafa-koshi nahin jati sitam-rani nahin jati

    ye apni apni aadat hai ba-asani nahin jati

    hijabon se haqiqat ki daraKHshani nahin jati

    ki lau fanus ke andar hai tabani nahin jati

    junun-e-ishq ki ai dil farawani nahin jati

    ki manzil samne hai aur pahchani nahin jati

    nahin jati hamari KHana-virani nahin jati

    ki shoale bujh chuke hain shoala-samani nahin jati

    tajahul aarifana un ka bazm-e-ghair mein tauba

    ki pahchani hui surat bhi pahchani nahin jati

    chaman mein raat bhar go baada-e-shabnam barasti hai

    gul-o-bulbul ki phir bhi pak-damani nahin jati

    kahan hum hain ki man-mani tumhaari man lete hain

    hamari manne ki baat bhi mani nahin jati

    nigah-e-husn hi kuchh kaam kar jae to mumkin hai

    rafu karne se warna chaak-damani nahin jati

    muKHalif kuchh karen urdu zaban miT hi nahin sakti

    ki jab tak apni mahfil se ghazal-KHwani nahin jati

    mohabbat 'mauj' wo dariya hai jis ki thah mushkil hai

    agar ek bar aa jati hai tughyani nahin jati

    Source:

    Toofan (Pg. 122)

    • Author: Rajendr Bahadur Mauj
      • Publisher: Unknown Organization
      • Year of Publication: 1945
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now