wafa meri yaad aae to lauT aana
vafā merī yaad aa.e to lauT aanā
kabhī dil taḌap jaa.e to lauT aanā
mujhe bevafā jaan kar tum ne chhoḌā
ḳhatā apnī yaad aa.e to lauT aanā
lahū dil kā hāzir hai dast-e-hinā ko
zarūrat jo paḌ jaa.e to lauT aanā
bahut dil dukhāne kā tum ko hai armāñ
ye armāñ nikal jaa.e to lauT aanā
ye 'maz.har' kā dar hai khulā hī rahegā
dil apnoñ se bhar jaa.e to lauT aanā
wafa meri yaad aae to lauT aana
kabhi dil taDap jae to lauT aana
mujhe bewafa jaan kar tum ne chhoDa
KHata apni yaad aae to lauT aana
lahu dil ka hazir hai dast-e-hina ko
zarurat jo paD jae to lauT aana
bahut dil dukhane ka tum ko hai arman
ye arman nikal jae to lauT aana
ye 'mazhar' ka dar hai khula hi rahega
dil apnon se bhar jae to lauT aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.