Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wafa-o-mehr-o-altaf-o-karam the ham-inan kya kya

Sajida Zaidi

wafa-o-mehr-o-altaf-o-karam the ham-inan kya kya

Sajida Zaidi

MORE BYSajida Zaidi

    vafā-o-mehr-o-altāf-o-karam the ham-ināñ kyā kyā

    hue haiñ apne dil se magar ham bad-gumāñ kyā kyā

    par-e-parvāz niilā āsmāñ manzil sitāroñ

    kaTe shahpar to yaad aane lagīñ jaulāniyāñ kyā kyā

    ye apnā dil jo ab āseb-e-ḳhāmoshī maskan hai

    kabhī guzre the is suunī Dagar se kārvāñ kyā kyā

    sukūt-e-nīm-shab āhaTeñ aur raat jaadū

    ye manzar saath le aayā tirī dildāriyāñ kyā kyā

    jahāñ ahl-e-nazar ahl-e-hunar hukmarānī thī

    vahāñ minqār-e-zer-e-par haiñ baiThe nukta-dāñ kyā kyā

    ab apne ghar bhī ahvāl lab par nahīñ sakte

    kiyā karte the ham ahvāl-e-ālam bayāñ kyā kyā

    ajab tīra-shabī se ab rah-o-rasm-e-junūñ Thahrī

    hue nisyāñ ke parde meñ mah-o-anjum nihāñ kyā kyā

    wafa-o-mehr-o-altaf-o-karam the ham-inan kya kya

    hue hain apne hi dil se magar hum bad-guman kya kya

    par-e-parwaz nila aasman manzil sitaron ki

    kaTe shahpar to yaad aane lagin jaulaniyan kya kya

    ye apna dil jo ab aaseb-e-KHamoshi ka maskan hai

    kabhi guzre the is suni Dagar se karwan kya kya

    sukut-e-nim-shab ki aahaTen aur raat ka jadu

    ye manzar sath le aaya teri dildariyan kya kya

    jahan ahl-e-nazar ahl-e-hunar ki hukmarani thi

    wahan minqar-e-zer-e-par hain baiThe nukta-dan kya kya

    ab apne ghar ka bhi ahwal lab par la nahin sakte

    kiya karte the hum ahwal-e-alam ka bayan kya kya

    ajab tira-shabi se ab rah-o-rasm-e-junun Thahri

    hue nisyan ke parde mein mah-o-anjum nihan kya kya

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 410)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now