Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wafa-shanas mohabbat-shanas hai hi nahin

Raza Naqvi

wafa-shanas mohabbat-shanas hai hi nahin

Raza Naqvi

MORE BYRaza Naqvi

    vafā-shanās mohabbat-shanās hai nahīñ

    isī liye mujhe duniyā se aas hai nahīñ

    ai dasht-e-jabr-o-jafā chal uThā furāt lapeT

    mire qabīle ko paanī pyaas hai nahīñ

    ajiib fasl-e-bahārāñ hai bāġh-e-hastī meñ

    kisī bhī peḌ ke tan pe libās hai nahīñ

    ye arsh vāloñ qissa hai farshiyoñ nahīñ

    zamīñ pe koī vilāyat-shanās hai nahīñ

    tamām log rivāyāt ḳhud se ghaḌ rahe haiñ

    kisī ko merī vasiyyat paas hai nahīñ

    tamām sheroñ meñ talḳhī hayāt hai 'razā'

    mirī ġhazal meñ to koī miThās hai nahīñ

    wafa-shanas mohabbat-shanas hai hi nahin

    isi liye mujhe duniya se aas hai hi nahin

    ai dasht-e-jabr-o-jafa chal uTha furaat lapeT

    mere qabile ko pani ki pyas hai hi nahin

    ajib fasl-e-bahaaran hai bagh-e-hasti mein

    kisi bhi peD ke tan pe libas hai hi nahin

    ye arsh walon ka qissa hai farshiyon ka nahin

    zamin pe koi wilayat-shanas hai hi nahin

    tamam log riwayat KHud se ghaD rahe hain

    kisi ko meri wasiyyat ka pas hai hi nahin

    tamam sheron mein talKHi hayat ki hai 'raza'

    meri ghazal mein to koi miThas hai hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now