Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahan kaise koi diya jale jahan dur tak ye hawa na ho

Nawaz Deobandi

wahan kaise koi diya jale jahan dur tak ye hawa na ho

Nawaz Deobandi

MORE BYNawaz Deobandi

    vahāñ kaise koī diyā jale jahāñ duur tak ye havā na ho

    unheñ hāl-e-dil na sunā.iye jinheñ dard-e-dil pata na ho

    hoñ ajab tarah shikāyateñ hoñ ajab tarah ināyateñ

    tujhe mujh se shikve hazār hoñ mujhe tujh se koī gila na ho

    koī aisā sher bhī de ḳhudā jo tirī atā ho tirī atā

    kabhī jaisā maiñ ne kahā na ho kabhī jaisā maiñ ne sunā na ho

    na diye hai na havā hai yahāñ jo bhī kuchh hai ḳhudā hai

    yahāñ aisā koī diyā nahīñ jo jalā ho aur vo bujhā na ho

    maiñ marīz-e-ishq huuñ chāragar hai dard-e-ishq se be-ḳhabar

    ye taḌap us ilaaj hai ye taḌap na ho to shifā na ho

    wahan kaise koi diya jale jahan dur tak ye hawa na ho

    unhen haal-e-dil na sunaiye jinhen dard-e-dil ka pata na ho

    hon ajab tarah ki shikayaten hon ajab tarah ki inayaten

    tujhe mujh se shikwe hazar hon mujhe tujh se koi gila na ho

    koi aisa sher bhi de KHuda jo teri ata ho teri ata

    kabhi jaisa main ne kaha na ho kabhi jaisa main ne suna na ho

    na diye ka hai na hawa ka hai yahan jo bhi kuchh hai KHuda ka hai

    yahan aisa koi diya nahin jo jala ho aur wo bujha na ho

    main mariz-e-ishq hun chaaragar tu hai dard-e-ishq se be-KHabar

    ye taDap hi us ka ilaj hai ye taDap na ho to shifa na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now