Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahan pahuncha diya hai ishq ne ab marhala dil ka

Abr Ahsani Ganauri

wahan pahuncha diya hai ishq ne ab marhala dil ka

Abr Ahsani Ganauri

MORE BYAbr Ahsani Ganauri

    vahāñ pahuñchā diyā hai ishq ne ab marhala dil

    jahāñ sab farq miT jaatā hai bismil aur qātil

    judā.ī vafā jaur ulfat mushkil

    rahā hai sāmnā har sañg se ā.īna-e-dil

    chalo achchhā huā tum aa ga.e dam toḌtā thā maiñ

    yahī dushvār thī saa.at yahī thā vaqt mushkil

    palaT aatā huuñ maiñ māyūs ho kar un maqāmoñ se

    jahāñ se silsila nazdīk-tar hotā hai manzil

    kamāl-e-shauq meñ majnūñ anā lailā qaa.el hai

    agar aise meñ parda ḳhud-baḳhud uTh jaa.e mahmil

    araq se tar jabīñ ḳhanjar meñ laġhzish ruḳh pe ghabrāhaT

    adab ai saḳht-jāñ parda khulā jaatā hai qātil

    khaḌā hai 'abr' dar par kuchh nahīñ dete na do lekin

    nahīñ dil toḌte arbāb-e-himmat apne saa.il

    wahan pahuncha diya hai ishq ne ab marhala dil ka

    jahan sab farq miT jata hai bismil aur qatil ka

    judai ka wafa ka jaur ka ulfat ki mushkil ka

    raha hai samna har sang se aaina-e-dil ka

    chalo achchha hua tum aa gae dam toDta tha main

    yahi dushwar thi saat yahi tha waqt mushkil ka

    palaT aata hun main mayus ho kar un maqamon se

    jahan se silsila nazdik-tar hota hai manzil ka

    kamal-e-shauq mein majnun ana laila ka qael hai

    agar aise mein parda KHud-baKHud uTh jae mahmil ka

    araq se tar jabin KHanjar mein laghzish ruKH pe ghabrahaT

    adab ai saKHt-jaan parda khula jata hai qatil ka

    khaDa hai 'abr' dar par kuchh nahin dete na do lekin

    nahin dil toDte arbab-e-himmat apne sail ka

    Source:

    Nagine (Pg. 47)

    • Author: Abr Ahsani Ganauri
      • Publisher: State Press, Rampur
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now