Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahan to rose sitara naya chamakta hai

Qasim Niyazi

wahan to rose sitara naya chamakta hai

Qasim Niyazi

MORE BYQasim Niyazi

    vahāñ to roz sitārā nayā chamaktā hai

    yahāñ bas ek jugnū hai jo sisaktā hai

    use to vaqt ne ḳhāmoshiyāñ baḳhshī haiñ

    jo apnī raah badaltā hai aur bhaTaktā hai

    vo ek jhuuT thā jo raushnī meñ aa pahuñchā

    ye ek sach hai añdheroñ meñ jo bhaTaktā hai

    kis ḳhayāl meñ kis soch meñ hai fikr na kar

    ki merā zaḳhm tirā zulm chhup to saktā hai

    lagā liye haiñ jo maiñ ne bhī mausamī chehre

    mere ghar meñ bhī sūraj ik chamaktā hai

    'niyāzī' aaj us ātish-badan yaad aa.ī

    ki jis ke naam se sho.ala ik lapaktā hai

    wahan to roz sitara naya chamakta hai

    yahan bas ek hi jugnu hai jo sisakta hai

    use to waqt ne KHamoshiyan hi baKHshi hain

    jo apni rah badalta hai aur bhaTakta hai

    wo ek jhuT tha jo raushni mein aa pahuncha

    ye ek sach hai andheron mein jo bhaTakta hai

    tu kis KHayal mein kis soch mein hai fikr na kar

    ki mera zaKHm tera zulm chhup to sakta hai

    laga liye hain jo main ne bhi mausami chehre

    tu mere ghar mein bhi suraj sa ek chamakta hai

    'niyazi' aaj us aatish-badan ki yaad aai

    ki jis ke nam se shoala sa ek lapakta hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 465)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now