aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi azab wahi aasra bhi jine ka

Mayank Awasthi

wahi azab wahi aasra bhi jine ka

Mayank Awasthi

MORE BYMayank Awasthi

    vahī azaab vahī aasrā bhī jiine

    vo merā dil nahīñ zaḳhm bhī hai siine

    maiñ be-libās shīshe ke ghar meñ rahtā huuñ

    mujhe bhī shauq hai apnī tarah se jiine

    vo dekh chāñd pur-nūr kahkashāoñ meñ

    tamām rañg hai ḳhurshīd ke pasīne

    maiñ pur-ḳhulūs huuñ phāgun dopahar tarah

    tirā mizāj lage puus ke mahīne

    samundaroñ ke safar meñ sambhāl kar rakhnā

    kisī kueñ se jo paanī milā hai piine

    'mayañk' aañkh meñ sailāb uTh na paa.e kabhī

    ki ek ashk musāfir hai is safīne

    wahi azab wahi aasra bhi jine ka

    wo mera dil hi nahin zaKHm bhi hai sine ka

    main be-libas hi shishe ke ghar mein rahta hun

    mujhe bhi shauq hai apni tarah se jine ka

    wo dekh chand ki pur-nur kahkashaon mein

    tamam rang hai KHurshid ke pasine ka

    main pur-KHulus hun phagun ki dopahar ki tarah

    tera mizaj lage pus ke mahine ka

    samundaron ke safar mein sambhaal kar rakhna

    kisi kuen se jo pani mila hai pine ka

    'mayank' aankh mein sailab uTh na pae kabhi

    ki ek ashk musafir hai is safine ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now