Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi hain qatl-o-ghaarat aur wahi kohram hai saqi

Ajay Sahaab

wahi hain qatl-o-ghaarat aur wahi kohram hai saqi

Ajay Sahaab

MORE BYAjay Sahaab

    vahī haiñ qatl-o-ġhārat aur vahī kohrām hai saaqī

    tamaddun aur maz.hab ye ḳhūnī shaam hai saaqī

    kalām-e-fan mirā ab tak nihāñ hai aise duniyā se

    ki jyuuñ abdulha.ī meñ ik alif gumnām hai saaqī

    merī gañg-o-jaman tahzīb duḳhtar hai ye urdu

    ise muslim banāne ye sāzish aam hai saaqī

    kareñge amn bāteñ diloñ meñ buġhz rakkheñge

    yahī rasm-e-jahāñ aur fitrat-e-aqvām hai saaqī

    qad-a-shā.ir ke badle dekhiye me.ayār sheroñ

    faqat itnā mirī ġhazloñ ye paiġhām hai saaqī

    arūz-o-ilm ta.alīm mujh ko kab rahī hāsil

    mirā ustād to bas ye ġham-e-ayyām hai saaqī

    vahī ġhālib hai ab to jo ḳharīde shohrateñ apnī

    rubā.ī bechne vaalā umar-'ḳhayyām' hai saaqī

    ye ġhazleñ ġhaib se nāzil nahīñ ashkoñ hāsil haiñ

    mirā ye dard sab se baḌā ilhām hai saaqī

    wahi hain qatl-o-ghaarat aur wahi kohram hai saqi

    tamaddun aur mazhab ki ye KHuni sham hai saqi

    kalam-e-fan mera ab tak nihan hai aise duniya se

    ki jyun abdulhai mein ek alif gumnam hai saqi

    meri gang-o-jaman tahzib ki duKHtar hai ye urdu

    ise muslim banane ki ye sazish aam hai saqi

    karenge amn ki baaten dilon mein bughz rakkhenge

    yahi rasm-e-jahan aur fitrat-e-aqwam hai saqi

    qad-a-shair ke badle dekhiye meayar sheron ka

    faqat itna meri ghazlon ka ye paigham hai saqi

    aruz-o-ilm ki talim mujh ko kab rahi hasil

    mera ustad to bas ye gham-e-ayyam hai saqi

    wahi ghaalib hai ab to jo KHaride shohraten apni

    rubai bechne wala umar-'KHayyam' hai saqi

    ye ghazlen ghaib se nazil nahin ashkon ka hasil hain

    mera ye dard hi sab se baDa ilham hai saqi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now