Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi ek pukar wahi fughan meri mohr-e-dida-o-lab mein hai

Mukhtar Siddiqui

wahi ek pukar wahi fughan meri mohr-e-dida-o-lab mein hai

Mukhtar Siddiqui

MORE BYMukhtar Siddiqui

    vahī ik pukār vahī fuġhāñ mirī mohr-e-dīda-o-lab meñ hai

    hai karāh jo shab-o-roz jo fazā ke shor-o-shaġhab meñ hai

    kabhī din Dhale pe ho sāmnā kabhī diid āḳhir-e-shab meñ hai

    hai yahī ma.āl-e-talab mirā mirī ibādat-e-rab meñ hai

    kabhī fāsloñ masāfatoñ pe ubuur ho to ye kah sakūñ

    mirā jurm hasrat-e-qurb hai to yahī kamī yahāñ sab meñ hai

    sahar-e-azal ko jo ga.ī vahī aaj tak hai musāfirī

    use tai kareñ to pata chale kahāñ kaun kis talab meñ hai

    koī aur tarz-e-hayāt bhī mujhe ab rahīn-e-karam batā

    ki hai baat merī giraftanī mirī chup bhī sū-e-adab meñ hai

    wahi ek pukar wahi fughan meri mohr-e-dida-o-lab mein hai

    hai karah jo shab-o-roz ki jo faza ke shor-o-shaghab mein hai

    kabhi din Dhale pe ho samna kabhi did aaKHir-e-shab mein hai

    hai yahi maal-e-talab mera tu meri ibaadat-e-rab mein hai

    kabhi faslon ki masafaton pe ubur ho to ye kah sakun

    mera jurm hasrat-e-qurb hai to yahi kami yahan sab mein hai

    sahar-e-azal ko jo di gai wahi aaj tak hai musafiri

    use tai karen to pata chale kahan kaun kis ki talab mein hai

    koi aur tarz-e-hayat bhi mujhe ab rahin-e-karam bata

    ki hai baat meri giraftani meri chup bhi su-e-adab mein hai

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 177)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now