Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi laDki wahi laDka purana

Zahid Farani

wahi laDki wahi laDka purana

Zahid Farani

MORE BYZahid Farani

    vahī laḌkī vahī laḌkā purānā

    kahīñ hotā hai ye qissa purānā

    akele-pan meñ ab ik tāzgī hai

    huā jaatā hai har rishta purānā

    jahān-e-aql insān jāhil

    nayā juġhrāfiya naqsha purānā

    jahāñ dekho vahī farsūda manzar

    jidhar niklo vahī rasta purānā

    nayā shā.ir bhī uljhā hai zabāñ meñ

    ye ustādoñ se bhī niklā purānā

    na uktāo jo be-par uḌaa.e

    ki 'zāhid' yaar hai apnā purānā

    wahi laDki wahi laDka purana

    kahin hota hai ye qissa purana

    akele-pan mein ab ek tazgi hai

    hua jata hai har rishta purana

    jahan-e-aql ka insan jahil

    naya jughrafiya naqsha purana

    jahan dekho wahi farsuda manzar

    jidhar niklo wahi rasta purana

    naya shair bhi uljha hai zaban mein

    ye ustadon se bhi nikla purana

    na uktao jo be-par ki uDae

    ki 'zahid' yar hai apna purana

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 731)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now