Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi sham ke dilase wahi subh ke bahane

Faheem Jogapuri

wahi sham ke dilase wahi subh ke bahane

Faheem Jogapuri

MORE BYFaheem Jogapuri

    vahī shaam ke dilāse vahī sub.h ke bahāne

    shab-e-tār se farāġhat mile kab ḳhudā jaane

    kahāñ vo ḳhafā ḳhafā the kahāñ aa ga.e manāne

    mirī jiit ban ga.e haiñ mirī haar ke zamāne

    nahīñ fasl-e-gul shaidā mirī ḳhvāhishoñ mausam

    gul-e-dil karūñ jo arpan mirā devtā na jaane

    shab-e-ġham badal ga.ī hai ruḳh-e-kahkashāñ sūrat

    tirī yaad se haiñ raushan mire ġham ke ḳhāne-ḳhāne

    tirī zulf-e-ambarīñ to vo matā.a-e-dilkashī hai

    jise raat ne churā jise maañg ghaTā ne

    tujhe ke bhī na paanā tujhe kho ke phir machalnā

    yahī uljhanoñ ke phere yahī jiine ke bahāne

    jo sitam hai un fitrat to hai sabr apnī aadat

    diyā jor-o-zulm un ko hameñ hausla ḳhudā ne

    tirī aañkh ke ye sāġhar lab-e-nāz ke kaTore

    mire naam aaj kar de ye sabhī sharāb-ḳhāne

    mire dil meñ ai 'fahīm' ab uThe haiñ jo dard-e-paiham

    mujhe yaad aa rahe haiñ vo shabāb ke zamāne

    wahi sham ke dilase wahi subh ke bahane

    shab-e-tar se faraghat mile kab KHuda hi jaane

    kahan wo KHafa KHafa the kahan aa gae manane

    meri jit ban gae hain meri haar ke zamane

    nahin fasl-e-gul ka shaida meri KHwahishon ka mausam

    gul-e-dil karun jo arpan mera dewta na jaane

    shab-e-gham badal gai hai ruKH-e-kahkashan ki surat

    teri yaad se hain raushan mere gham ke KHane-KHane

    teri zulf-e-ambarin to wo mataa-e-dilkashi hai

    jise raat ne chura li jise mang li ghaTa ne

    tujhe pa ke bhi na pana tujhe kho ke phir machalna

    yahi uljhanon ke phere yahi jine ke bahane

    jo sitam hai un ki fitrat to hai sabr apni aadat

    diya jor-o-zulm un ko hamein hausla KHuda ne

    teri aankh ke ye saghar lab-e-naz ke kaTore

    mere nam aaj kar de ye sabhi sharab-KHane

    mere dil mein ai 'fahim' ab uThe hain jo dard-e-paiham

    mujhe yaad aa rahe hain wo shabab ke zamane

    Source:

    Nawed-e-Sahr (Pg. 92)

    • Author: Faheem Jogapuri
      • Publisher: Markaz Tahqiqat Urdu Farsi Gopalpur, Bihar
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now