Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi subh ka dhundhalka wahi manzilen wahi shab

Hosh Bilgrami

wahi subh ka dhundhalka wahi manzilen wahi shab

Hosh Bilgrami

MORE BYHosh Bilgrami

    vahī sub.h dhuñdhalkā vahī manzileñ vahī shab

    koī kyā samajh sakegā ġham-e-zindagī matlab

    mirī be-qarāriyāñ haiñ mirī zindagī hāsil

    yahī maslak-e-mohabbat yahī ahl-e-dil maz.hab

    mire ġham pursishoñ se unheñ ijtināb kyoñ hai

    vo samajh ga.e haiñ shāyad mirī har nazar matlab

    ġham-e-dil hai rāz-e-hastī na bulandiyāñ na pastī

    ye haqīqateñ to samjhā dil-e-be-ḳhabar magar kab

    na mirī ḳhizāñ muqarrar na mirī bahār qaa.em

    jo mujhe milī hai ye bhī koī zindagī hai yārab

    maiñ hadīs-e-ġham sunā.ūñ maiñ vafā saaz chheḌūñ

    jo zabāñ na khul sakī to jo kisī ne diye lab

    koī 'hosh' kah sakā hai ġham-e-dil kabhī zabāñ se

    vo savāl kar rahe haiñ maiñ kahūñ to kyā kahūñ ab

    wahi subh ka dhundhalka wahi manzilen wahi shab

    koi kya samajh sakega gham-e-zindagi ka matlab

    meri be-qarariyan hain meri zindagi ka hasil

    yahi maslak-e-mohabbat yahi ahl-e-dil ka mazhab

    mere gham ki pursishon se unhen ijtinab kyon hai

    wo samajh gae hain shayad meri har nazar ka matlab

    gham-e-dil hai raaz-e-hasti na bulandiyan na pasti

    ye haqiqaten to samjha dil-e-be-KHabar magar kab

    na meri KHizan muqarrar na meri bahaar qaem

    jo mujhe mili hai ye bhi koi zindagi hai yarab

    main hadis-e-gham sunaun main wafa ka saz chheDun

    jo zaban na khul saki to jo kisi ne si diye lab

    koi 'hosh' kah saka hai gham-e-dil kabhi zaban se

    wo sawal kar rahe hain main kahun to kya kahun ab

    Source:

    Surud-e-Gham (Pg. 44)

    • Author: Hosh Bilgrami
      • Publisher: Sarfaraz Manzil, Hyderabad
      • Year of Publication: 1947
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now